Pura Suwal: Baaz namaziyon ko ba‐sabab e kasrat namaz naak ya peshani par jo siyah daagh ho jata hai. Zaid kehta hai ke jis ke dil me bugz ho ye us ke dil ka daagh zahir hota hai. Kya zaid sahih kehta hai. Or ye dagh se kya kuchh faida hai?
Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ Sahaba or Huzoor صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ irshad fermata hai: Un ki peshani unke chehron me hai sajde ke asar.
Sahaba or tabaieen se is nishaani ki tafseer me 4 qaul masoor hain:
- Weh noor jo roze qiyamat unke chehro par barkate sajdeh se hoga is qaul ke raawi‐ Hazrat Abdullah bin Abbas, Hasan basri wagera hain,
- Khushu a khuzu wa roshni jiske aasar saleyheen ke chehron par duniya hi me zahir honge. Is qaul ke raawi‐ Hazrat abdulla bin abbas, imam mujahid hain,
- Chehri ki zaradi ki, qiyam (namaz) e leyl o shab bedaari main peda hoti hai is qaul ke raawi‐ imam hasan basri wa sihak o ekrama shamr bin attiya he
- Wuzu ki tari aur khak ka asar ki, zameen par sajda karne se maathe aur naak par mitti lagi jaati hai . is qaul ke raawi‐ imam saeed bin jubair, wa ekrama se hai,
Baki tafseel FATAWA AFRICA me padhi jaa sakti hai. Khulasa e kalam hai ye ki,
Dikhawe ke liye qasdan nishan paida karna Haram e qatai or gunah e kabeera hai or weh nishan jahannam ka nishan hai Jab tak tauba naa kare.
Aur agar nishan sajdo ki kasrat se khud padh jaye to agar ye sajde riyai (dikhawe) ke the aisa karne wala jahannami Aur ye maathe par sajdo ke nishaani ki nishan agarche khud paida hua ho Or agar sajde mehez Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ ke liye the or ye is nishan ke padhne se khush hua Ki log mujhe ibadar guzar, sajid janege to ab riya aa gaya.
Or agar ise is nishan ki taraf kuchh ittifaq nahi to ye nishan, nishan e mehmood hai Or ek jamat ke nazdeek ayat e kareema me iski tareef hai, Ummid hai ki qabr me firishton ke liye iske imaan wa namaz ki nishani ho aur roze qiyamat suraj se zyada noorani ho, Jabki aqeeda Ahle sunnat wa jamaat ka ho Warna badtareen gumrah ki kisi ibadat or nishani par nazar nahi hoti.