Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: General

Sikander Warsi
Sikander Warsi

03 May 2024

Tasawuf kya hai?
Answer

Shariat ke samunder se nikli tariqat ki ek neher.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

28 Apr 2024

Billi (Cats) palna kesa hai?
Answer

Billi palna sharann Jaiz hai balki hadees me iska sabut hai or khud Huzoor عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ  ke hujre e mubarak me bhi billa aa jaya karti thi.

Ek martaba huzur صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ wuzu farma rahe the ki ek billi aai apne wuzu ka paani uske samne kar diya or billi ne piya fir apne usi paani se wuzu kiya, or sahabi jinhe billi panle ki hi wajah se “Abu huraira” kaha jata hai. 

Jo janwar insano se manoos ho une pala jaa sakta hai harj nahi, woh aise naa ho jo naapaki aur gandagi ka lihaz naa kare, aur shariat ne unhe palne se mana naa kiya ho, aur janwar ka khane ka lihaz rakha jaye ki waqt waqt par unhe khana paani dikhaya jaye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

27 Apr 2024

Fisabilillah ka kya matlab hota hai?
Answer

Lafz فِي سَبِيلِ ٱللَّٰهِ ka Tarjuma Ala Hazrat Imam E Ahle Sunnat ne Kanzul Iman Shareef Surah Tauba Ayat 60 me is tarah farmaya – “Allah ki Raah mein”.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

26 Apr 2024

Kasab karne wala Allah ka dost hai iska kya matlab hai?
Answer

Kasab karne wala Allah ka dost hai. iski tafsir khud iske aage byan ki gai hai ki kamane wala hunarmand kabhi bhooka nahi rehta woh apne hunr se roz kama kar kha sakta hai. jiski missal roz paani ke jharne se di gai hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

22 Apr 2024

Durweshi ka mana kya hai?
Answer

Durweshi, lafz durwesh se bana hai durwaish bamana‐ faqeer, 

Durweshi hua faqeeri/gharibi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

20 Apr 2024

Bade buzurg kehte hain ki aankhon ka farkna achchha nahi hota kya ye sahi hai
Answer

Ulti aankh ke fadakne ko bad‐shuguni manna sahi nahi hai, bahut hadis me iski mazammat ki gai, jiska khulasa hai ki.

Badshuguni lena, mushrikeen ka tariqa hai Badshuguni lena haram hai achcha fal lena mustahab, Badshuguni lena buto(but parasto) ka tariqa hai Badshuguni ko shirk (khafi) bhi kaha gaya.

Jo badshuguni ki wajah se kisi chiz se ruk jaye wo shirk me aaluda ho gaya.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Agar Kutta Pagal Ho Jaye To Uska Kya Hukm Hai Kya Use Maar Dena Chahiye?
Answer

Han Qatal Kar Sakte Hain Hadis e Paak Me Bhi Yahi Hukm Hai Zyada Katne Wala Ya Pagal Kutta Ho To Use Qatal Kar Do.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Chup Kar Ibadat Karni Chahiye To Logo Ko Kaise Nasihat Hogi Log Kaise Namaz Ki Taraf Mail Honge?
Answer

Farz Ibadat Zahiri Karni Chahiye Jo Logo Ke Sath Karne Ka Hukm Hai Aur Nafil Chup Kar Kare, Aur Kabhi Zahir Karke.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Ghar Me Billiyan (Cats) Rakhna Kaisa?
Answer

Rakh To Sakte Hain Magar Har Kamre Me Jayegi Ya Har Jagah Ghoomegi To Najasat Ka Mas'ala Ban Jayega.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kuch Khate Waqt Ya Khane Ke Baad Munh Dhone Se Pehle, Kisi Ko Salam Ya Uska Jawab De Sakte Hain?
Answer

Han De Sakte Hain Aur Khane Ke Dauran Hi Ek Ghoont Pani Pee Sakte Hain.