Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Food

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Apr 2024

Kya Mitti ya chini ka tuta bartan istilmal karna durweshi lata hai?
Answer

Tute bartan khas kar khane peene ke ho to use khane peene me istimal karna ulama ne makruh likha hai ki chini ya mitti ke bartan me agar darar aa jaye ya tute ho to us darar me kitano paida ho jaate hai, or khane peene se munh ke zariye jism me chale jate hai isliye aise bartan se bachna chahiye warna us jagah se to zarur jaha se tuta ho. 

Isi tarah tambe ke bartan ko bina kalai kiye huye istimal karna bhi muzir e sihat hai (sihat ke liye nuksan).

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Koi Aisa Kafir Ho Jo Sharab Peeta Ho, Uske Ghar Ke Barton Me Pani Peena Kaisa?
Answer

Agar Wo Barton Sharab Ka Nahi To Pani Pee Sakte Hain Yani Sharab Peene Ke Baad Use Achche Se Dhoya Gaya Ho Fauran Usi Me Pani Na Piya Gaya Ho.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Pehli Aur Aakhri Roti Kyu Nahi Khani Chahiye?
Answer

Kis Gadhe Ne Khane Ko Najaiz Bataya Hai?

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kya Khane Pine Ki Chiz Ke Upar Se Nahi Guzarna Chahiye?
Answer

Isme Harj Nahi Hai Garm Cheezo Ko Aqalmand Log Mana Karte Hai Guzarne Ke Liye Wo Isilye Ki Usme Zarar (Nuqsan) Paye Jane Ka Khof Hai Lihaza Ehtiatan Hukm Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kya Thokar Laga Hua Pani Peene Me Koi Harj Hai?
Answer

Ji Nahi, Koi Harj Nahi Hai, Agar Pani Sahi Aur Peene Laiq Hai To Pee Sakte Hain

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Gaye Ke Gosht Ko Haram Kehne Wale Par Ka Hukm Hoga?
Answer

Aisa Kehne Wala Jahil Shakhs Hai Aur Haram Hone Ki Iske Pas Koi Dalil Nahi Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Heeng Ka Istemal Karna Kaisa?
Answer

Heeng Ka Istemal Karna Jaiz Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Agar koi Sharabi Janwar Zibah kiya toh kya Gost Halal hai?
Answer

Sharab Pine Wale Ne Agar Janwar Zibah Kiya Aur Us Waqt Hosh Me Tha Agarche Nashe Kiye Huye Tha To Bhi Janwar Halal Hoga.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Kya Nutmeg (Jaiphal) Khana Jaiz Hai?
Answer

Jaiphal Khane Me Istemal Karna Jaiz Hai, Ahle Sunnat Ki Awam Ko Chahiye Ki Wahabi Kya Kehte Hain Us Par Dhyan Na Den, Wo Peshab Peene Ko Bhi Jaiz Kehte Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Taadi Peena Kaisa Hai?
Answer

Taadi Jab Tak Nasha Na Lane Wali Ho To Jaiz Hai Aur Aisi Ban Gai Ho Ki Jisse Nasha Ho Jaye To Peena Jaiz Nahi.