23 Jan 2024
Ghar Me Jumua Nahi Hota, Zohar Padh Sakte Ho Biwi Ke Sath Jamat Se
23 Jan 2024
Agar Public Zyada Ho To Maidan Me Namaz Padh Sakte Hain Jahan Koi Bhi Jamat Me Shamil Ho Jaye, Aur Khet Agar Kisi Doosre Ka Hai To Wahan Namaz Na Padhe Ya Fir Fassl Kharab Hone Ka Dar Ho To Bhi Nahi, Kisi Ghar Me Bhi Nahi Padh Sakte Ki Wahan Izn e Aam Nahi Hoga.
23 Jan 2024
Nikah Aur Eid Ka Khutba Sunna Wajib Hai.
23 Jan 2024
Dua Karni Chahiye Magar Bagair Awaz Ke.
23 Jan 2024
Agar Waha Sunni Imam Hai To Jana Hi Behtar Hai Aur Jumua Na Padh Pane Ki Surat Me Zohar Tanha Padh Sakte Hain.
23 Jan 2024
Eid Aur Jumua Jaisi Namaz Ke Liye Jo Shart Hain Wo Ghar Me Paai Nahi Jaa Sakti Lihaza Aise Me Tanfa Zohar Padhna Chahiye Jaha Imam Sunni Na Ho.
23 Jan 2024
Agar Jumua Na Padhne Ki Wajib Wajah Thi To Zohar Padh Lena Kafi Hai Aur Bewajah Jumua Tark Karna Chahe Susti Se Ho Ya Ghaflat Se To Gunah Hoga, Zohar Padhna Fir Bhi Farz Rahega Aur Zohar Se Jumua Ka Gunah Kam Nahi Hoga.
23 Jan 2024
Haan Pehli Saf Ka Sawab Baad Walo Se Zyada Hai, Aur Inme Bhi Pehle Imam Fir Naib Imam Fir Naib Imam Ke Dahine Wale Fir Bayen Wale Is Tarah Fir Piche Tak.
23 Jan 2024
Jumua Pura Hone Ke Baad Padh Le
23 Jan 2024
Jumua Na Padhne Ki Surat Me Zohar Ki Namaz Mukammal Ada Ki Jayegi Sunnat Farz Sab Aur Ye Namaz Bina Jamat Ke Honi Chahiye.
23 Jan 2024
Masjid Ke Namaz Time Board Par Jo Jumua Ka Time Hota Hai Wo Khutbe Ka Time Hi Hota Hai Na Ki Jamat Ka Aur 2-3 Minute Ke Khutbe Ke Foran Bad Hi Jamat Shuru Ho Jati Hai Aur Jumua Me Aham Khutba Hi Hota Hai.
23 Jan 2024