Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Masjid / Azan

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kya Aurat Ya Mard Ko Farz Namaz Shuru Karne Se Pehle Iqamat Kehna Zaroori Hai?
Answer

Tanha Shakhs Ko Akele Namaz Padhne Ke Liye Na Azaan Kehna Zaroori Hai Na Iqamat.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kya Masjid Me Pest Control Laga Sakte Hain Insects Aur Mosquitoes Ko Marne Ke Liye?
Answer

Agar Isse Masjid Me Badbu Na Phaile Aur Masjid Gandi Na Hoti Ho To Laga Sakte Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Jo Fasiq Ho ( Dadhi Nahi Rakhta Ho) Agar Wo Masjid Me 5 Time Azan De To Uska Azan Dena Kaisa Hai?
Answer

Fasiq Ka Azan Dena Makruh Hai Lihaza Behtar Hai Ki Use Narmi Se Roka Jaye Aur Koi Ba-Shara Shakhs Hi Azan De.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Ramzan Me Maghrib Ki Azan Ka Jawab De Ya Iftari Kare?
Answer

2 Tariqe Ho Sakte Hain, Ek Ye Ki, Sirf Pani Se Roza Khol Le Phir Jawab De Phir Kha Le, Doosra Ye Ki Jaldi Kha Le Aur Phir Azan Baad Mukammal Jawab De Le.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Court Me Hone Ki Wajah Se Azan Ke Waqt Azan Ki Aawaz Nahi Aati To Baat Kar Sakte Hain?
Answer

Azan Ke Waqt Usi Surat Me Khamosh Rehne Ka Hukm Hai Jab Ki Azan Ki Awaz Bhi Sunai Deti Ho Lihaza Jahan Awaz Nahi Aati To Azan Ke Time Baat Poori Ki Ja Sakti Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kya Azan Se Pehle Namaz Padh Sakte Hain?
Answer

Agar Namaz Ka Waqt Ho Gaya Ho To Namaz Padh Sakte Hain Chahe Azan Na Hui Ho Ya Fir Apko Awaz Na Aai Ho.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kya Jo Masjid Mazar Se Attached Ho Us Masjid Me Namaz Nahi Padh Sakte?
Answer

Jo Masjid Mazar Ke Paas Ho Aur Aksar Masjid Aur Mazar Sharif Sath Hi Hote Hain To Aisi Masjid Me Namaz Padhne Me Harj Nahi, Wahabi Se Dosti Iman Ke Liye Khatra Hoti Hai Wo Quran Hadis Ke Naam Par Dilo Me Waswase Dalte Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kya Masjid Me Game Wagaira Khel Sakte Hain?
Answer

Masjid Allah Ka Ghar Hai Koi Timepass Karne Ki Jagah Nahi Hai Wahan Kisi Bhi Qism Ka Khel Khelna, Najaiz O Gunah Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kya Shia Ki Azaan Ka Jawab Aur Dua Padhni Chahiye?
Answer

Shia Ki Azaan Ka Jawab Nahi Dena Chahiye, Agar Ilaqe Me Koi Bhi Sunni Azaan Ho Chuki Ho To Uske Bad Dua Padh Sakte Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Fajar Ki Azan Me Koi Assalatu Khairum Minan Naum Sahi Se Na Keh Paye To Azan Ho Jayegi?
Answer

Azan To Ho Jayegi Dohrane Ki Zaroorat Bhi Nahi Magar Aise Shakhs Se Azan Na Kehlwaye Jo Sahi Alfaz Ada Na Kar Paye.