29 Apr 2024
Pehle qabristan me jaate hi salam kiya jaye, "Assalmu alaikum ya ahl al‐qubur” fir qabr se 4 hath ki doori par paaun ke pas khada ho kar, jo surate yaad ho padh kar isal kar sakta hai, warna charo qul padh kar bhi warna surah fatiha padh kar bhi, aur ho sakte ho qabr ke pas beth kar yaseen ya Quran ki tilawat kar sakta hai.
05 Jan 2024
05 Jan 2024
Pura Sawal: Agar Kisi Dost Ya Rishtedar Ki Namaz Janaza Badmazhab Masjid Me Ada Ho Rahi Ho Jahan Ashraf Ali Thanvi Ki Talimat Di Jati Ho Lekin Imam Ke Aqeede Pata Na Ho To Kya Janaze Ki Namaz Padh Sakte Hai?
Answer: Nahi Padh Sakte, Baad Me Use Kisi Sunni Ko Padhna Chahiye Warna, Dafan Ke Fauran Baad Koi Qabar Par Padh Dein.
05 Jan 2024
05 Jan 2024
Zaroorat Ho To Dekh Sakte Hain Kisi Khas Ke Liye.
05 Jan 2024
Mehram Ke Hote Huye Ghair Mehram Ko Qabar Me Na Utarne Diya Jaye, Agar Mehram Kam Ho Ya Taqat Me Zada Na Ho Toh Doosre Log Madad Kar Sakte Hain.
05 Jan 2024
Agar Woh Shakhs Taharat Se Waqif Hai Aur Janaze Ki Namaz Sahi Padha Sakta Hai Aur Usse Behtar Wahan Koi Nahi Toh Namaz Padh Lena Chahiye, Janaze Ki Namaz Aam Namaz Ki Nisbat Asan Hai.
05 Jan 2024
Har Insan Ke Sath Imama Sharif Ki Ijazat Ulama Ne Nahi Di, Albatta Peer, Alim, Imam, Sayyed, Deeni Peshwa, Badshah Waghaira Ko Imama Ke Sath Dafan Kiya Ja Sakta Hai.
05 Jan 2024
Ja Sakte Hain Agar Koi Apna Hai Toh.
Jabki Napak Mard Na Jaye To Behtar Hai, Use Pehle Ghusl Karna Chahiye Magar Aurat Haiz Me Ghusl Nahi Kar Sakti Isilye Karibi Ho To Dekh Le.
04 Jan 2024
Mitti chahe Qabristan ki ho ya kaisi bhi, Fitrat e insani yahi hai ki use dhoya jata hai Or yahi takaza e bashariat bhi hai ki, jism ko Har choti badi gandagi se saaf rakha jaye. To is mitti ko dhone me koi harj nahi magar Ye khyal ki ghar jaane se pehle hi dhona chahiye Yani ye mitti ghar naa jaye ghalat hai, ghar jaa kar Bhi dho liya jaaye to harj nahi.
Aur mere khayal se ye is tarah shuru hua hoga, ki Jaise bachcha baahar khel kar aata hai to use nasihat Ki jaati hai ghar me gande hath paun lekar mat Ana isi tarah qabristan ki mitti lage hath paun Koi gande ghar lejana pasand nahi karega, to Bahar hi dho lete hai, magar isse kuchh jahil ye samajh Bethe honge ki shayad hath paun bahar hi dhone Chahiye, kyunki is daur e purfitan me log rassi ko bhi Sanp bana dete hai.
04 Jan 2024
Naapaki ki halat me mayyat ko mitti bhi de sakte hai or Qabristan me bhi dakhil ho sakte hai, magar behtar yahi ki paki hasil ki jaye. Aur isme karahat makruh ki hai haram ki nahi.
04 Jan 2024
Hath Jharne (saaf karne) me koi harz nahi, Jabki taali ki awaaz naa aye, Ki Durr e mukhtar wa fatawa shami me hai Taali banaja HARAM hai, Aur awaz naa aye to harz nahi (or ghaliban ye manahi bhi isilye thi ki tali naa baje Magar log ise jahalat ki taraf le gaye, ki hath hi jharna Mana samjhne lage).
Iska Jawab dete huye Mufti Amjad Ali Azami, Bahar e shariat Jild:1 Page:845 Farmate hai:
“Hath me jo mitti lagi hai, use jhar den, Ya dho daalen Ikhtiyaar hai.”