Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Allah

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Allah Ko Miss karna aur Miss You Allah Likhna kaisa hai?
Answer

Allah Ki Yaad Ya Mohabbat Me "Miss You Allah" Kehne Ma Harj Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Allah Ko Apna Bodyguard kehna kaisa hai?
Answer

Allah Ke Liye Lafz Muhafiz Hota Hai Na Ki Bodyguard Kyun Ki Bodygurad Baaz Surat Me Sirf Person (Makhlooq) Ki Hifazat Karta Hai Jaisa Ki Naam Se Zahir Hai Body (Personality) Ki Hifazat Karne Wala. Aur Wo Kabhi Kabhi Bachane Me Nakaam Bhi Ho Jata Hai Jabki Allah Insan Ke Alawa Janwar Aur Tamam Makhlooq Ka Muhafiz Hai Na Sirf Jaan Ka Balki Rizq Ka Bhi. Aur Wo Apne Kaam Me Nakaam Nahi Hota, Lihaza Allah Ke Liye Bodyguard Bolna Nihayat Kam Aqali Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Allah Ta'ala Ki Zaati Sifat Kon Kon Si Hain?
Answer

1. Hayat 2. Qudrat 3. Sunna 4. Dekhna 5. Kalam 6. Ilm 7. Irada

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Ilm-e-Zaati Ka Kya Maana Hai?
Answer

Ilm-e-Zaati Ka Ye Maana Hai Ki Be Khuda Ke Diye Khud Hasil Ho.

Ilm-e-Zaati Allah Ta'ala Ka Khass Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Allah Ta'ala Ke Abadi Hone Se Kya Murad Hai?
Answer

Allah Ta'ala Ke Abadi Hone Se Murad Ye Hai Ke Wo Humesha Rahega.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Allah Ta'ala Ke Qadeem Aur Azali Hone Ka Kya Matlab Hai?
Answer

Allah Ta'ala Ke Qadeem Aur Azali Hone Ka yeh Matlab Hai Ki Woh Hamesha Se Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Wajib Ul Wujood Kise Kehte Hain Aur Isse Kya Murad Hai?
Answer

Zaat e Baari Ta'ala Ko Wajib Ul Wujood Kehte Hain. Aur Isse Murad Wo Zaat Hai Jiska Wujood Zaroori Ho.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Allah Paak Ko Rabb-e-Kaaba Keh Sakte Hain ?
Answer

Haan, Isme Koi Harj Nahi, Wo Tamam Makhlooq Ka Rab Hai Aur Kaba Bhi Makhlooq Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Allah Ko Hazrate Haq Ta'ala Keh Sakte Hain?
Answer

Jaiz Hai Isme koi Harj Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Kya Khwab Me Allah Ka Deedar Karna Mumkin Hai?
Answer

Ji Han, Khwab Me Allah Ka Deedar Karna bilkul Mumkin Hai. 

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024