Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Learn InShort

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 May 2024

Qaza Namaz kab padh sakte hai?
Answer

Jo 3 waqt makruh hai unke alawa har waqt me qaza namaz padhi jaa sakti hai aur jald ada karne ka tariqa hamne byan kar diya hai, jo bahut asan hai.

Bahar E Shariat Jild:1 Safah: 706 par hai, “jis ke zimme qaza namaze ho agarche unka padhna jald se jald wajib hai, magar bal bachcho ki parwarish aur apni zaruriyat ki wajeh se takhir jaiz hai, to karobar bhi kare aur jo waqt fursat ka mile usme qaza bhi padhta rahe yaha tak ki poori ho jayen” 

Fatawa Alamgiri Jild: 1 Safah:52 Par Hai “Qaza ke liye koi waqt tey nahi umar me jab bhi padhega bari‐uz zimmah jo jayega, magar tulu, gurub wa zawal ke waqt, (naa padhe) ki in waqton me namaz jaiz nahi” 

Durr E Mukhtar Jild:2 Safah: 646 par hai, “Qaza namaze nafil se ahm hai, yani jis waqt nafil padhta hai, unhe chhor kar unke badle, qazaye padhe”.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 May 2024

Nikah ke waqt kin chizo ka hona zaruri hai?
Answer

Nikah naam hai ijab o qubool ka yani agar koi baligh mard aurat, do gawah (mard, ya 1 mard do aurat) ki mujoodgi me sharai meher ke sath khud nikah karna chahe to bhi nikah sahi ho jayega. Iske alawa zewar wagera koi chize sone ya chandi ke naa hone se ya naye kapde ke na hone se nikah par kuchh farq nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 May 2024

Namaz main jo sunnat gair Muakkadah hoti he kya kehna zaruri hai?
Answer

Keh lene me bhi harj nahi aur naa kaha to bhi sunnat ada ho jayegi jab ki dil me pakka irada ho kiya padh raha hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

03 May 2024

Tasawuf kya hai?
Answer

Shariat ke samunder se nikli tariqat ki ek neher.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

02 May 2024

Kya kafiron se interest le sakte hain?
Answer

Ji haan Le sakte hai, ye sood nahi hota. Hindustan ke kafir harbi hai. Islye agar koi yahan ke kafir ko qarz de kar zyada raqm li jaye yani. ek kafir ne zaid se kaha, ki tum mujhe 5000 Rs. Do, me apko wapas karte waqt 6000 Rs. Dunga to zaid ke haq me ye zaaid 1000 sood nahi. Aur ise sood samjhna logo ki ghalat fehmi hai.

Hazrat Faqih e Millat Mufti Muhammad Jalaluddin Amjadi (alaihirrehma) Fatawa Faiz ur Rasool Jild:2 Safah:391 par farmate hain:
Yahan ke kafiron ko qarz dekar, za'id raqm lena JAIZ HAI.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

01 May 2024

Kya Mobile Shop me download karne ki kamai Jaiz hai?
Answer

Agar Downloading Film, Gaane Baje, Behuda Tasveeron ki, ki jayegi to zarur aisa karna haram hai, aur agar downloading naat, sunni ulama ki taqareer, byan, bejaan ki tasveer (Kaaba, Madina) wagaira ki, ki jaye to jaiz.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

30 Apr 2024

Chishti ka asal mana kya hai?
Answer

Afghan (chisht) ke logo ka ek naam hai, chisht ke badshah ko bhi chishti kehte hai or sufio ke ek silsile ka naam, jo khwaja ghareeb nawaz se chala.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

29 Apr 2024

Qabristan me jakar dua mangne ka sahi tariqa kya hai aur kya padhna hai?
Answer

Pehle qabristan me jaate hi salam kiya jaye, "Assalmu alaikum ya ahl al‐qubur” fir qabr se 4 hath ki doori par paaun ke pas khada ho kar, jo surate yaad ho padh kar isal kar sakta hai, warna charo qul padh kar bhi warna surah fatiha padh kar bhi, aur ho sakte ho qabr ke pas beth kar yaseen ya Quran ki tilawat kar sakta hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

28 Apr 2024

Billi (Cats) palna kesa hai?
Answer

Billi palna sharann Jaiz hai balki hadees me iska sabut hai or khud Huzoor عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ  ke hujre e mubarak me bhi billa aa jaya karti thi.

Ek martaba huzur صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ wuzu farma rahe the ki ek billi aai apne wuzu ka paani uske samne kar diya or billi ne piya fir apne usi paani se wuzu kiya, or sahabi jinhe billi panle ki hi wajah se “Abu huraira” kaha jata hai. 

Jo janwar insano se manoos ho une pala jaa sakta hai harj nahi, woh aise naa ho jo naapaki aur gandagi ka lihaz naa kare, aur shariat ne unhe palne se mana naa kiya ho, aur janwar ka khane ka lihaz rakha jaye ki waqt waqt par unhe khana paani dikhaya jaye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

27 Apr 2024

Fisabilillah ka kya matlab hota hai?
Answer

Lafz فِي سَبِيلِ ٱللَّٰهِ ka Tarjuma Ala Hazrat Imam E Ahle Sunnat ne Kanzul Iman Shareef Surah Tauba Ayat 60 me is tarah farmaya – “Allah ki Raah mein”.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

26 Apr 2024

Kasab karne wala Allah ka dost hai iska kya matlab hai?
Answer

Kasab karne wala Allah ka dost hai. iski tafsir khud iske aage byan ki gai hai ki kamane wala hunarmand kabhi bhooka nahi rehta woh apne hunr se roz kama kar kha sakta hai. jiski missal roz paani ke jharne se di gai hai.