Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Ghusl

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Ghusl Ke Baad Jab Pair Dhoya To Zameen Ke Napak Pani Ki Kuch Chinte Badan Pe Lag Gayi
Answer

Pura Sawal: Ghusl Ke Baad Jab Pair Dhoya To Zameen Ke Napak Pani Ki Kuch Chinte Badan Pe Lag Gayi, Phir Badan Towel Se Poch Liya Kya Badan Aur Towel Napak Ho Gaye?

Answer: Na Badan Napak Hoga Na Toliya.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Ghusl Ke Waqt Shak Ho Ki Sar Ka Koi Baal Sukha Reh Gaya To Kya Ghusl Hoga?
Answer

Shak Se Kuch Nahi Hota Lihaza Baad Me Sirf Sar Dho Sakta Hai Dobara Ghusl Ki Zaroorat Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Ghusl Me Ek Farz Chut Gaya Jaise Kulli Karna Naak Me Pani Dalna To Kya Hukm Hai?
Answer

Jab Yaad Aaye Kar Len Warna Ghusl Ke Foran Bad Wuzu Kar Len Kafi Hoga.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Ghusl Farz Ho Jaye Aur Raat Me Nahane Se Logo Ko Takleef Ho To Fajr Qaza Karke Subah Me Naha Sakte?
Answer

Namaz Qaza Karne Se Jo Takleef Apko Qabr Me Hogi Usme Wo Log Bhi Apke Kaam Nahi Ayenge Jinki Takleef Ko Apne Dunya Me Ahmiat Di Lihaza Ghusl Karna Hoga Ghusl Sakit Hone Ki Surat Me Tayammum.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Kya Aurat Aur Mard Ke Liye Ghusl Ka Tarikqa Alag Hai?
Answer

Tariqa Ek Hi Hai Yani Jo Farz Hai Wo Dono Ke Liye Wahi Farz Hai Albatta Aurat Ke Ghusl Me Ehtiyat Zyada Hai Jaise Kaan Naak Ke Zewar, Pistano Ka Dhala Hona Waghaira Aur Aurat Ko Ghusl Me Poore Baal Dhona Bhi Zaroori Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

2 Baar Ehtilaam Ya Inzal Ho Jaye To 2 Baar Nahana Padega?
Answer

Chand Napakio Ke Liye Bhi Ek Hi Ghusl Kafi Hai Lihaza Ghusl Se Pehle Agar Kai Bar Ehtilam Ya Inzal Ya Humbistari Ki Ho To Mard Aurat Dono Par Ek Hi Ghusl Kafi Hoga Paak Karne Ke Liye.