Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site
Makan ko sirf namaz padne ke liye ibadat gah banana lekin masjid naam na rakhna
Sikander Warsi
Sikander Warsi

22 Jul 2023

2 mins read

Makan ko sirf namaz padne ke liye ibadat gah banana lekin masjid naam na rakhna

بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ

Pura Sawal: Ek sheher me logon ne ittifaq ke saath ek makan namaz padne ke liye banaya or us ka naam ibadat gah rakha gaya masjid naam nahi rakha is ki wajah ye ke kabhi admi namaz na padhe to wo ibadatgaah bad dua na kare. Ab us makan me beth kar dunya ki baten karen to ye jaiz hai ya nai? Or us masjid me jumua or eiden ki namaz bhi hoti hai lakdi ka mimbar bhi hai. Lekin mehraab nahi bani to makan ka martaba masjid ka hoga ya nahi is me dunya ki bate karna durust hai ya nai.

Jis makan ko ibadat gah ka naam diya gaya, Taki log usme namaz padhe to usme namaz ki Ijazat din ya khas namazo ke liye di gai ya mutlaqan. Yani sirf juma ya eed ramazan wagera me hi makan ko namaz ke liye khali rakha jata hai ya aam din bhi agar aisa nahi Aur usme waqt ki koi qaid bhi nahi or waha namaz Juma eed bhi hui, to wo masjid hi hai. Fir chahe uska naam ibadatgah hi rakha jaye.

Aur ma’ne ke aitbar se musalman ke liye uska ibadat gah ko masjid hi kehte hain, or masjid ko masjid hone ke liye Miran ya mehrab ka hona zaruri nahi, ittifaq ke sath, (jaise ki Suwal me hai) musalman ne mil kar namaz ke Liye makan mukarrar kiya or arkaan e islam (namaz) Bhi ada hui balki jume balki eed bhi aurr ye makan (agar) khas waqt ke liye nahi tha to Masjid hi hai.

Ab jab wo masjid hi hai. to us par sare ehkam masjid ke hi Honge. Yani wahan beth kar jaiz baate karna bhi najaiz hain aur bator e tafrih yaha majma laga kar bethna or baate karna, Khana peena kuchh jaiz nahi, be‐niyat e etikaaf.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Sikander Warsi

Sikander Warsi

Hazrat Maulana Sayyid Muhammad Sikander Warsi renowned as SMS Warsi is a Sunni Muslim Scholar who follows and propagates teaching of Sunni (Barelwi) order of Islam.

You may also read

Comments