Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Qurbani / Aqeeqa

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kya Qurbani 4 Din Tak Bhi Ki Ja Sakti Ahle Hadees Walo Se Mujhe Sunne Ko Mila?
Answer

Aap Ahle Sunnat Hain Ab Wahabi Qadiyani Kya Kehte Hai Apko Unki Baato Par Fikr Karne Ki Zaroorat Nahi Qurbani 3 Din Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Sulehkulli Ka Zabiha Halal Hai Ya Haram?
Answer

Halal Hoga Jab Tak Uske Aqeede Kufriya Na Hon Ya Us Par Kufr Zahir Na Ho

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Qurbani Ke Ghosht Me Fatiha Ho Sakti Hai?
Answer

Har Jaiz Halal Khane Par Fatiha Ho Sakti Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Jis Shakhs Par Ghusl Farz Ho Wo Murgi Zibah Kar Sakta Hai?
Answer

Ji Haan Zibah Kar Sakta Hai, Napak Shakhs Ka Zabiha Halal Hota Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Bachpan Me Walid Sahab ne mere Aqeeqe Me 1 Hi Bakra Kiya Ab Mujhe Aqeeqa Karna hai toh kya kare?
Answer

Jab Ek Janwar Ke Sath Aqeeqa Ho Gaya To Ab Fir Se Karne Ki Zaroorat Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Qurbani Ke Janwar Bahot Zyada Shararat Karne Lage To Kya Unhe Chadi Ya Dande Se Mara Ja Sakta Hai?
Answer

Haan Aisa Kiya Ja Sakta Hai Magar Aisa Na Mare Ki Nishan Ho Balki Halka Hi Mare.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Bakra Eid Ke Din 12 Baje Ya Zohar Ke Baad Qurbani Nahi Kar Sakte?
Answer

Bakra Eid Ke 3 Din Hain Aur In Dino Me Qurbani Ki Ja Sakti Hai Dophar 12 Baje Ke Baad Bhi.