Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Namaz

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 May 2024

Qaza Namaz kab padh sakte hai?
Answer

Jo 3 waqt makruh hai unke alawa har waqt me qaza namaz padhi jaa sakti hai aur jald ada karne ka tariqa hamne byan kar diya hai, jo bahut asan hai.

Bahar E Shariat Jild:1 Safah: 706 par hai, “jis ke zimme qaza namaze ho agarche unka padhna jald se jald wajib hai, magar bal bachcho ki parwarish aur apni zaruriyat ki wajeh se takhir jaiz hai, to karobar bhi kare aur jo waqt fursat ka mile usme qaza bhi padhta rahe yaha tak ki poori ho jayen” 

Fatawa Alamgiri Jild: 1 Safah:52 Par Hai “Qaza ke liye koi waqt tey nahi umar me jab bhi padhega bari‐uz zimmah jo jayega, magar tulu, gurub wa zawal ke waqt, (naa padhe) ki in waqton me namaz jaiz nahi” 

Durr E Mukhtar Jild:2 Safah: 646 par hai, “Qaza namaze nafil se ahm hai, yani jis waqt nafil padhta hai, unhe chhor kar unke badle, qazaye padhe”.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 May 2024

Namaz main jo sunnat gair Muakkadah hoti he kya kehna zaruri hai?
Answer

Keh lene me bhi harj nahi aur naa kaha to bhi sunnat ada ho jayegi jab ki dil me pakka irada ho kiya padh raha hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

25 Apr 2024

Namaz ke faraiz aur sharait me kya fark hai?
Answer

Agar namaz me sharait naa paye gaye to namaz sire se shuru hi nahi hogi, aur sharait poori karne par namaz shuru ho jayegi aur ab jaha farz chhoota waha jaa kar namaz tut jayegi.

Kisi napak shakhs ne bagair ghusl namaz shuru kar di to namaz shuru hi nahi hogi, kyunki taharat sharait me se hai, aur agar sharte poori karke namaz shuru ki to namaz shuru ho gai ab jab beech me bewuzu hoga to us rakat se namaz tut jayegi.

Sharait e salat 6 hain, 1‐Taharat, 2‐sitre aurat, 3‐istiqbal e qibla, 4‐Waqt, 5‐Niyat, 6‐Takbir e tehrima.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Underwear Me Ek Boond Mazi Lag Jaye To Kya Us Ko Pehen Kar Namaz Padh Sakte Hain?
Answer

Agar Wo Boond Zyada Phaili Nahi To Namaz Ho Jayegi, Magar Khilaf E Sunnat, Yani Us Namaz Ka Fir Se Padhna Sunnat Hai, Agar Boondh Zyada Phail Gayi Yani Ek Dirham Se Zyada To Nahi Hogi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

15 Saal Ka Ladka Jiske Chehre Par Dadhi Nahi Hai aur Thoda Ilm Hai Wo Imam Ki Ghair Hazri Me Imamat Kar Sakta Hai?
Answer

Agar Taharat Ka Ilm Hai Aur Quran Sahi Padh Leta Hai To Padha Sakta Hai Jabki Namaz Padhana Ata Ho.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Kya Imam Ke Piche Har Baar Takbeer Aur Akhir Me Salam Pherte Waqt Bhi Muqtadi Ka Salam Karna Wajib Hai?
Answer

Imam Ke Piche Bhi Takbeer e Tehrima Farz Hai, Baki Takbeer Sunnat Hai, Aur As-Salam Wajib Hai Baki Sunnat.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Kya Nabina Shakhs Ko Permanent Masjid Ka Imam Bana Sakte Hain?
Answer

Nabeena Ki Imamat Makruh e Tanzihi Hai Siwa Is Surat Ke Ki, Wahi Waha Sabse Zyada Ilm Rakhta Ho, Agar Wahi Alim e Qom Ho To Wahan Ye Makruh Bhi Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Taziya Ke Samne Fatiha Padhne Wale Imam Ke Piche Namaz Hogi?
Answer

Namaz To Ho Jayegi Jabki Wo Taziya Ko Ghalat Hi Samjhta Ho Magar Imam Ko Aise Khurafat Wali Jagah Par Jane Se Bachna Chahiye Aur Baaz Jagah Qom Khud Le Jati Hai Jabran To Muslehat Ke Tehet Bhi Ho Sakta Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Agar Imam Ka Musalla Niche Ho Aur Baaqi Piche Sab Log Imam Se Upar Hon To Kya Namaz Ho Jayegi?
Answer

Imam Ka Muqtadi Se Ya Iske Baraks Buland Jagah Par Khade Hona Makruh Hai Magar Ye Itna Buland Ho Ki Door Se Dekne Me Wazeh Mumtaz Nazar Aye Albatta Muqtadio Ka Bhi Imam Se Uncha Khada Hona Khilaf e Sunnat Makruh Hai Agarche Namaz Ho Jayegi Bezaroorat Isse Bachna Chahiye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Masjid Me Koi Shakhs Tanha Ho Aur Nabaligh Bachche Hon toh kya Jamat Kar sakta hai?
Answer

Mard Baligh, Sab (Aurat, Khunsa, Nabaligh) Ka Imam Ban Sakta Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Kisi Ke Walidain Me Se Agar Koi Ek Bhi Naraz Ho To Us Shaksh Ki Imamat Ka Kya Hukm Hoga?
Answer

Imamat Par Isse Koi Farq Nahi Ayega, Dekha Ye Jayega Ki Unki Narazgi Ki Wajah Kya Hai Ye Zaroori Nahi Ki Bada Har Masle Me Sahi Ho Kabhi Kabhi Chota Bhi Haq Par Hota Hai Magar Use Tasleem Nahi Kar Pata.