Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Taraweeh / Itikaf

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Agar Taraweeh Ki Rakat Chut Jaye Jis Me Sajda e Tilawat Tha To Muqtadi Us Rakat Ko Kaise Ada Kare?
Answer

Agar Muqtadi Ko Wo Ayate Aati Hain To Usi Se 2 Rakat Padh Kar Sajda Kar Sakta Hai Warna Koi Jo Chahe Ayat Se Bachi Hui Taraweeh Padh Sakta Hai, Zaroori Nahi Wahi Ayate Padhe.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Kya Aurat Aurton Ki Imamat Kar Sakti Hai Taraweeh Ki Namaz Me?
Answer

Aurat Ka Imam Banna Makruh e Tehrimi Hai Lihaza Taraweeh Me Bhi Aurat Imamat Nahi Kar Sakti.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Itikaaf Me Baithne Ke Liye Maa Baap Ki Ijazat Lena Zaroori Hai?
Answer

Ijazat Zaroori Hai Agar Unhe Apki Zaroorat Hui To Pehle Unki Khidmat Karni Hogi Aur Agar Baith Kar Khabar Kar Di Aur Ghar Me Aur Log Maujood Hain To Harj Nahi Fir Bhi Unhe Razi Karna Hoga Agar Wo Is Baat Se Khafa Honge To.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Agar Taraweeh Ki Namaz Ghar Me Padhni Pade Aur Quran Hifz Na Ho Toh?
Answer

Taraweeh Ghar Par Padhne Ke Liye Hafiz e Quran Hona Zaroori Nahi Hai, Balki Jo Surat Yaad Hain Unhi Se 20 Rakat Namaz Padhi Ja Sakti Hai Jaisa Ki Aurate Bhi Ghar Par Hi Padhti Hai To Kya Sab Aurate Hafiza Hoti Hain?

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

4 Rakat Taraweeh Ki Niyat Kar Rahe Hain To Kya 3 Teesri Rakat Me Sana Padhna Hoga?
Answer

Padh Sakte Hain Balki Padhna Behtar Hai, Yani Qa'da Ula Me Durood Bhi Padh Sakte Hain Aur Teesri Rakat Me Sana Bhi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Agar Taraweeh Hum Akele Padh Rahe Hain To Kya Isha Ki Namaz Se Pehle Padh Sakte Hain?
Answer

Isha Ke Farz Padhne Ke Bad Taraweeh Padhi Ja Sakti Hai Isse Pehle Nahi.