Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site
Ilm e Deen Ki Fazilat
Admin
Admin

09 Aug 2023

3 mins read

Ilm e Deen Ki Fazilat

بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ

Ilm Seekhnay Sikhanay Ki Fazilat 

Aik baar Huzoor صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ apnay hujra-e-mubarakah say masjid main tashreef la`ay tau 2 halqay sajay huway thay. 1 Qur'aan Majeed parh raha tha aur Allah Pak say du'a maang raha tha jab-keh doosra ‘ilm-e-deen seekhnay seekhanay main mashghol tha fermaya: “Dono bhalaee par hain”. Yeh loug Qur'aan ki tilawat aur Allah Pak say dua kar rahay hain, Allah Pak chahay tau inhain ‘ata karay ya na karay aur yeh loug ilm- e-deen seekhnay seekhanay main mashghol hain aur bay shak main mu’allim bana kar bhaija gaya hun, phir Aap صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ wahin tashreef ferma huway. (Ibn-e-Majah, jild 1 safhah 150, Hadees 229)

Ilm e Deen ki Fazilar par Mushtamil Aqwaal-e-Buzurgaan-e-Deen

1. Musalmanon kay doosray Khaleefah, Ameer-ul-Mu'mineen Hazrat Umar Farooq رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ nay fermaya: Ay logo! Tum par ilm hasil karna lazim hai. Bay shak Allah Pak ki aik chadar muhabbat hai aur jo ilm ka aik baab hasil kar laita hai Allah Pak usay woh chadar pehna daita hai. (Jami' Bayan Al-'Ilm-o-Fuzlah, safha 83, Hadees 251)

2. Hazrat Abdullah bin Mas'ood رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ nay fermaya: Ilm seekho is say pehlay utha liya ja`ay aur ilm ka uthaya jaana yeh hai keh 'ulama' wafaat paa ja`ayn gay. Us zaat ki kasam! jis kay qabza-e-qudrat main meri jaan hai, raah- e-Khuda main maaray jaanay waalay shuhda jab ‘ulama`ka maqam daikhay gay tau tamanna karayn gay keh kaash! Unhain bhi ‘Aalim uthaya jaata,((Ihya`-ul-'Uloom, jild 1, safhah 23) Koi bhi aalim paida nahin hota 'ilm seekhnay say hi aata hai. (Kitab-ul-Zuhd safhah 184, hadees 899)

3. Hazrat Abdullah bin Abbas رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ nay fermaya: Raat main kuch dair ilm ki takrar karna mujhay saari raat shab baidari say ziyadah mehboob hai. (Musnaf Abdul Razzaq, jild 10 safhah 238, Hadees 20636) (Esi tarah Hazrat Abu Hurairah رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ aur Hazrat Imam Ahmed Bin Hambal رَحْمَةُ الله عليه say bhi manqol hai. (Ihya'-ul-'Uloom, jild 1, safhah 23)

4. Hazrat Hasan Basri رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ fermatay hain: 'Ulama' ki siyahi ka shuhada kay khoon say wazan kiya ja`ay ga tau 'ulama' ki siyahi shu'hada kay khoon say bhaari hogi. (Ihya`-ul-'Uloom, jild 1, safhah 23)

5. Hazrat Ahnaf ka qoul hai keh jald hi 'ulama' malik ban ja'ayn gay aur har us izzat ka anjaam zillat say hota hai jisay 'ilm say mazboot na kiya ja`ay.' ((Jami' Bayan Al-'Ilm-o-Fuzlah, safha 83, Hadees 251)

6. Hazrat Imam Shafa'ee رَحْمَةُ الله عليه nay fermaya: Ilm ki azmat ka andaza is baat say lagaya jaa sakta hai keh jiski tarf yeh mansoob ho khuwa choti si baat main, tau woh khush hota hai aur jis say isay utha liya jaata hai woh ranjeedah hota hai. (Ihya'-ul-'Uloom, jild 1, safhah 23)

7. Aik aalim ka qoul hai keh kaash! Mujhay maloom ho ja`ay keh jisay ‘ilm nahin mila usay kiya mila aur jisay ilm mila usay kiya nahin mila. (Ihya'-ul-'Uloom, jild 1, safhah 23)

8. Kisi aqalmand say poucha gaya keh kon si chizain jama karni chahiyen? Jawab dia: Woh chizain keh jab tumhari kashti doob ja`ay tau woh tumharay saath tayrnay lagayn ya'ni 'ilm. Ba'az nay kaha: Kashti kay ghark honay say muraad mout kay zari'ay badan ka halaak hona hai. (Ihya'-ul-'Uloom, jild 1, safhah 23)

9. Kaha gaya hai keh: Jo hikmat ko lagaam bana laita hai loug usay Imaam bana laitay hain aur jo hikmat ko samajh laita hai loug usay izzat ki nigah say daikhtay hain. (Jami' Bayan Al-'Ilm-o-Fuzlah, safha 83, Hadees 251)

Reference: Ilm-e-Deen Kay Fazail By Dawate Islami

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Admin

Admin

My Sunni World is an Islamic website dedicated to teaching people about the religion especially the correct belief, and answering to questions related to Islamic law.

You may also read

Comments