Ghalat hai. Belt me namaz ho jayegi jabki us par koi jaandar ki Tasveer naa ho.
Aur agar kisi ne islye kaha ki, belt me kuchh loha steel wagera hota hai, to Uska hukm ye hai ki wo belt ke tab'e hai, Jis tarah patte wali ghari me bhi to sui or andar ki Machine or dhakkan bhi dhaat ka hota hai Magar wo bhi patte yani ghari ke tab'e hai. to kya patte wali ghari ko Aaj tak kisi ne mana kiya?
Aur agar kisi ne chamra samajh kar kaha ki chamre se namaz nahi hoti To hadis me faramaya ki (mafhoom)
Jab chamra ubaal liya jaye to paak hai, aur chamre ke moze bhi to pehne jaate hai, aur uspe masah bhi hai.
Bas ye kaafi hai, ki koi dalil ise pehnne se nahi rok rahi.
Aur jis chiz ko shariat mana naa kare wo fi nafsehi jaiz hoti hai.
Aur jo kisi chiz ko najaiz kahe shariat ke qaida ke mutabiq Dalil dena uske zimme hai.