Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Business / Income

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Agar Koi Bad Aqeeda Ho Jaye Aur Baad Me Touba Karle, Kufr Ki Halat Me Kamaye Gaye Paise Jaiz Hoonge
Answer

Kufr Ki Halat Me Kamaye Gaye Paise Halal Aur Jaiz Hi Honge Jabki Jaiz Tariqe Ya Jaiz Karobar Se Kamaye Gaye Hon.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Amazon Pe Shopping Karne Par Delivery Charge Lagta Hai To Kya Ye Jaiz Hai Ya Ye Commission Hota Hai?
Answer

Ji Haan Jaiz Hai Kyun Ki Saman Ke Alag, Lane Wale Ka Kiraya Lena Jaiz Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Kya Rent Par Kapde Le Kar Pehen Sakte Hain?
Answer

Agar Rent Par Kapde Milte Hain To Le Kar Pehen Sakte Hai, Jaisa Ki Shadi Ke Mauqe Par Dulha Dulhan Ke Kapde Zewar Rented Aate Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Stand Up Comedy Kar Ke Paisa Kamana Kaisa?
Answer

Ye Ek Najaiz Aur Gunah Ka Pesha Hai, Hadees Me Aise Kaam Karne Wale Ko Jahannam Ki Khabar Di Gai Hai

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Business Me Jhooti Qasam Kha Sakte Hain ya nai?
Answer

Karobar Me Jhuthi Qasam Khana Najaiz Aur Gunah Hai 

Hadess Sharif Ka Mafhoom Hai Ki "Jhuth Bolne Se Maal To Bik Jata Hai Magar Kamai Me Barkat Nahi Hoti" Isse Maloom Chala Ki Maal Bechne Ke Liye Bhi Jhuth Bolna Jaiz Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Kya Sirf Ghair Muslim Ki Shave Kare To Nayee Ki Income Jaiz Hogi?
Answer

Ghair Muslim Ki Shave Karna Jaiz Nahi Na Hi Usse Wo Income Lena.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Lottery Me Paisa Lagakar Jo Jita Kya Wo Juwa Hai?
Answer

Ji Haan Lottery Naam Hai Juwa Ka Aur Juwa Khelna Haram Hai

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Kya Bachchon Ko Quran Urdu Hadees Waghaira Padhane Ka Paisa Liya Ja Sakta Hai?
Answer

Ji Haan In Cheezo Ke Liye Padhane Wala Apna Waqt Deta Hai Lihaza Deeni Talim Ka Paisa Liya Ja Sakta Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

CASHKARO App Ka Istemal karna kaisa?
Answer

Pura Sawal: CASHKARO App Ka Istemal Aur Isse Paise Kamana Kaisa Ye Cashback Deti Hai Jab Iske Zariye Se Koi Product Buy Kiya Jaye?

Answer: CASHKARO App Se Saman Kharidne Par Jo Cash Back Milta Hai Use Le Sakte Hain Aur Is App Ko Bhi Istemal Kar Sakte Hain.