Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Hajj / Umra

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Agar Itna Maal Ho Ke Hajj Farz Ho Aur Ladki Ki Shadi Na Hui Ho To Walidain Hajj Nahi Kar Sakte?
Answer

Hajj Farz Hone Ki Shart Maal Ke Alawa Bhi Hoti Hain Aur Hajj Zindagi Me 1 Bar Hi Farz Hai Lihaza Ladki Ki Shadi Ke Baad Bhi Karenge To Bhi Hajj Ada Ho Jayega Lihaza Sada Nikah Karke Bhi Hajj Kar Sakte Hain Aur Shadi Ke Baad Bhi Hajj Kar Sakte Hain Albatta Tamam Sharte Usi Saal Paai Jayeb To Hajj Ki Koshish Karen

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Kya 7 Martaba Ajmer Jane Se 1 Hajj e Maqbool Ka Sawab Milta Hai?
Answer

Aisa Kuch Nahi Hai Ye Sab Jahilana Bate Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Kya Qarz Lekar Hajj Kar Sakte Hain?
Answer

Kar Sakte Hain, Hajj To Ho Hi Jayega Jabki Koi Aur Khilaf e Shara Baat Pai Na Jaye.