Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Sunnat aur Aadab

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Kurta Pajama Ya Jubbah Sunnat Hai? Agar Sunnat Ki Niyat Se Pehne To Kya Hukm Hoga?
Answer

Kurta Jubba Pajama Teeno Cheeze Sunnat Hain, Magar Kurta Jubba Sarkar ﷺ Se Pehenna Sabit Hai Pajama Pehenna Aapse Sabit Nahi Tehband Pehenna Sabit Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Khane Ke Foran Bad Pani Pina Chahiye Ya Nahi?
Answer

Nahi, Khane Ke Foran Bad Pani Na Piya Jaye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Imam Sahab Ke Imame Ke Bich Ki Topi Dikh Rahi Thi, Toh ek mufti Ne Namaz Dohrane Ko Kaha?
Answer

Topi Ke Upar Imama Is Tarah Se Bandhna Ki Sar Ke Charo Taraf Bandha Ho Aur Beech Ka Sar (Topi) Poori Khuli Hui Bhi Ho To Isme Bhi Kuch Harj Nahi, Na Hi Namaz Dohrane Ki Koi Zaroorat, Mufti Sahab Ko Itijar Ke Masale Me Shayad Tehqiq Nahi Hogi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Kya Khade Hokar Pani Peena Gunah Hai?
Answer

Zamzam Aur Wuzu Ke Bache Pani Ko Khade Ho Kar Peena Mustahab Hai Iske Siwa Tamam Pani Ko Beth Kar Peena Sunnat Hai, Albatta Khade Ho Kar Peena Bhi Haram Nahi Sunnat Ka Tark Zaroor Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Ghair Aalim ko Eid Ke Mauke Pe Imama Pehenna kaisa?
Answer

Imama Bandhna Mutlaqan Sunnat Hai Har Musalman Mard Ke Liye Uske Liye Alim Hafiz Hona Shart Nahi Hai Tamam Namazo Me Bhi Imama Bandha Ja Sakta Hai Chahe Eid Ho Ya Panjgana Ya Jumua.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

10 Sep 2023

Eid par gale kis taraf se milna chahiye
Answer

Eid par khaas nahi balke kabhi bhi mu’aanqa yani gale milen to sidhi jaanib se mila kare.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Sep 2023

Kya fasik ko salam kar sakte hai?
Answer

Hadis me fasik ki tazeem karne ki manahi aai he. Aur salam karna tazeem hota hai. Aur fasik ko salam Me pehl naa kare.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

02 Sep 2023

Khade ho kar nahaye ya beth kar
Answer

Jaiz dono surate hain. Magar adab bethne me zyada hai.