Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Nabi / Rasool

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Rabi Ul Awwal Me Koi Bhi Jhanda Lagana Kaisa Jisme Kalima e Tayyiba Ka Print Ho?
Answer

Laga Sakte Hain Magar Ehtiyat Ye Kare Ki Baad e Milad Use Utarna Chahiye Uski Tauheen Ka Khas Khayal Rakhe, Baki Jo Log Dalil Mangte Hain Wo Dalil Ke Baad Bhi Use Jaiz Nahi Manenge Lihaza Ap Apna Kam Kare Unke Haal Par Chor Den.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Watan Se Mohabbat Iman Ka Hissa Hai - Kya Ye Hadees Sahi Hai?
Answer

Ye Sufiya Ka Qol Hai Aisi Koi Hadees Nahi Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Koi Syed Ghar Me Paida Hokar Wahabi Ho Jaye Aur Phir Tauba Karke Sunni Ho Jaye To Kya wo Syed Rahega
Answer

Koi Syed Agar Baddeen Ho Jaye Aur Baad Me Apni Kharab Aqeede Se Tauba Kar Le To Uski Siyadat Par Koi Farq, Ab Nahi Hoga.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Khatm e Nubuwwat Ka Dawa Karne Wala Kafir Hai?
Answer

Nahi, Ye Hi Imaan Hai Yani Nabi ﷺ Ka Akhri Nabi Hona.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Ya Rasool Allah Kehna Kaisa - Aksar Log Is Ko Shirk Bolte Hain?
Answer

Ya Rasoolallah Kehna Jaiz Hai Aur Musalman Aisa Kehte Bhi Hain, Jo Ise Shirk Kehte Hain Unka Islam Se Khas Talluq Nahi Hai, Lihaza Unki Baato Par Dhyan Na Diya Jaye Ki Kaun Kya Kehta Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Nabi Kise Kehte Hain?
Answer

Jis Insan Ko Allah Ne Hidayat Ke Liye Wahi Bheji Ho Use Nabi Kehte Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Rasool Kise Kehte Hain?
Answer

Ambiya e Kiram Me Se Jo Allah Ki Taraf Se Nayi Aasmani Kitab Aur Nayi Shariat Lekar Aayein Wo Rasool Kehlate Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Nabi Ko Allah Ka Ghulam Kehna Kaisa?
Answer

Nabi Ya Kisi Insan Ko Bhi Allah Ka Ghulam Yani Ghulamullah Nahi Kehna Chahiye, Abdullah Hi Kaha Jaye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Kya 12 Rabi Ul Awwal Sharif Huzoor ﷺ Ki Paidaish Ka Din Hai Aur Usi Din Unki Wafat Hui Thi?
Answer

Han Yahi Mashhoor Hai Ki 12 Hi Ko Aap ﷺ Ki Wafat e Zahiri Hui Thi Baki Jise Gham Karna Hai Kar Le Magar Kare To Hum To Wiladat Ki Khushi Karenge.