Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site
Agar kisi ki Qaza namaz baqi hai to kya uski nafil namaz nahi Mani jayegi?
Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 May 2024

1 min read

Agar kisi ki Qaza namaz baqi hai to kya uski nafil namaz nahi Mani jayegi?

بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ

Jiske zimme par koi farz baqi rahe uski nafili ibadat qubool nahi, iska ye matlab hai ki nafil ibadat karne se uska sawab nahi payega or jab wo farz ada kar dega to us nafil ka sawab uske nama e amal me jor diya jayega, warna jab tak sawab se mehrum rahega, 

Kya Qaza Namaz Padhna Zaroori Hai?

Ji haan, qaza namaz jald se jald ada karna wajib hai, apni zaruriyat ke kaam se farig ho kar jald se apni qaza namaz ada karni chahiye, balki 5 namaz me jo nafil namaze hoti hai unhe chhor kar unke badle bhi qaza hi poori karni chahiye.

Jo 3 waqt makruh hai unke alawa har waqt me qaza namaz padhi jaa sakti hai aur jald ada karne ka tariqa hamne byan kar diya hai, jo bahut asan hai.

Bahar E Shariat Jild:1 Safah: 706 par hai, “jis ke zimme qaza namaze ho agarche unka padhna jald se jald wajib hai, magar bal bachcho ki parwarish aur apni zaruriyat ki wajeh se takhir jaiz hai, to karobar bhi kare aur jo waqt fursat ka mile usme qaza bhi padhta rahe yaha tak ki poori ho jayen” 

Fatawa Alamgiri Jild: 1 Safah:52 Par Hai “Qaza ke liye koi waqt tey nahi umar me jab bhi padhega bari‐uz zimmah jo jayega, magar tulu, gurub wa zawal ke waqt, (naa padhe) ki in waqton me namaz jaiz nahi” 

Durr E Mukhtar Jild:2 Safah: 646 par hai, “Qaza namaze nafil se ahm hai, yani jis waqt nafil padhta hai, unhe chhor kar unke badle, qazaye padhe”.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Sikander Warsi

Sikander Warsi

Hazrat Maulana Sayyid Muhammad Sikander Warsi renowned as SMS Warsi is a Sunni Muslim Scholar who follows and propagates teaching of Sunni (Barelwi) order of Islam.

You may also read

Comments