Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Ramazan / Roza

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kya Shawwal Ke Roze Eid Ke Bad Hi Rakhna Zaroori Hai Bad Me Rakhe To Ho Jayenge?
Answer

Shawwal Poore Mahine Hi Rehta Hai Lihaza Koi Is Maah Me Jab Bhi Rakhega Roze Ka Sawab Payega.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Jis Tarah Qaza e Umri Namaz Padhi Jati Hai To Kya Usi Tarah Qaza Roze Bhi Rakhne Honge?
Answer

Jis Tarah Pichli Farz Wajib Namazo Ko Qaza Padhna Wajib Hai Usi Tarah Ramazan Ke Farz Rozon Ki Bhi Qaza Rakhna Farz Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

10 ya 11 Saal Ka Bachcha Roza Todta Hai To Kaffara Hoga?
Answer

Suwal Adhura Hai, Bachcha Kaun Hai Ladka Ya Ladki Ye Likhna Chahiye, Agar Wo Baligh Hai To Kaffara Qaza Karna Hoga Wo Bhi Jab Poori Details Milegi Tab Dekha Jaye Ki Kis Tarah Aur Kis Wajah Se Toda, Aur Nabaligh Hai To Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Roza Iftar Kab Kare Iftar Time 6:20 Hai To 6:20 Par Hi Iftar Karle Ya 1-2 Minute Baad?
Answer

Behtar Hai Ki 1 Minute Ruk Lia Jaye Albatta Roza Time Hone Par Khola Ja Sakta Hai Jabki Time Hona Ek Sahi Sahi Ho Andaza Na Ho, Yani Application Me Bhi Ghalatii Nahi Honi Chahiye

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Roze Me Mouth Wash Use Karne Se Kya Roza Rahega Ya Toot Jayega?
Answer

Roze Ki Halat Me Mouth Wash Istemal Nahi Kar Sakte Usse Zarrat Halaq Me Jane Se Roza Toot Jayega, Albatta Sehri Me Thora Time Pehle Kiya Aur Thandak Halaq Me Baad Tak Rahi To Harj Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Roze Ki Halat Me Naak Me Pani Na Dale To Wuzu Ko Jayega?
Answer

Naak Me Pani Dalna Sunnat e Moakada Hai Lihaza Roze Me Zyada Sans Ke Sath Pani Na Chadaya Jaye Magar Naak Me Pani Dala Jaye.