Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Women

Sikander Warsi
Sikander Warsi

17 Apr 2024

Ladkiyan ka chudidaar pehenna - jaiz hai ya nai?
Answer

Is qadr chust aur tang kapda pehnna najaiz or gunah hai jisse jism ki banawat nazar aye, isi tarah aisa jisse jism ki rangat nazar aye haram hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Haiz Me Aurat Ka Durood Shareef Padhna Kaisa?
Answer

Napaki Me Durood e Paak Padhna Jaiz Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Aurat Ko 3 Din Blood Aata Ho To Use Kab Tak Ghusl Karna Chahiye Kab Se Namaz Padh Sakti Hai?
Answer

Suwal Wazeh Nahi Hai, Agar 3 Din Haiz Aata Hai To 3 Din Yani 72 Ghante Baad Wo Paak Ho Jayegi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Kya Aurat Daurane Haiz Naha Sakti Hai?
Answer

Nahana Jaiz Hai Koi Harj Nahi, Agar Nahane Se Nuqsan Ka Khud Tajurba Ho To Na Nahaye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Agar Periods Khatm Hone Ke Baad na nahaye aur 10ve Din Nahaye toh uske baad Quran padh sakte hai
Answer

Pura suwal: Agar Periods Khatm Hone Ke Baad Kisi Wajah Se Na Nahaye Aur Periods Ke 10ve Din Nahaye To Kya Uske Baad Quran Padh Sakte hain ? Ya 40 Din Tak Napak Rehte Hain?

Answer: Ji Han, Ghusl Ke Baad Quran Namaz Padh Sakte Hain Agarche Paak Hone Ke Bad Ghusl Na Karne Se Jo Namaz Qaza Hui Uska Gunah Rahega, Magar 40 Din Wali Bat Ghalat Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Kya Aurat Napaki Ki Halat (Haiz) Me Miswak Istemal Kar Sakti Hai?
Answer

Ji Haan Haiz Me Aurat Miswak Kar Sakti Hai Aurat Ko Miswak Ki Jagah Ungali Se Dant Saf Karna Chahiye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Period Me Allah Likhna Kaisa hai?
Answer

Haiz Me Allah Likhna Aur Padhna Yani Bolna Dono Jaiz Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Haiz Ki Halat Me Sajda e Shukr Karna Kaisa?
Answer

Halat e Haiz Me Sajda e Shukr Karna Mana Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Kya Qaza e Umri Namaz Haiz Ke Dino Ki Padhni Chahiye?
Answer

Halat e Haiz Me Aurat Par Namaz Ki Pabandi Nahi Aur Un Namazo Ko Haiz Ke Bad Me Qaza Karna Zaruri Nahi, Yani Maujada Haiz Ki Namaze Na Padhe, Aur Na Hi Qaza Umari Me Haiz Ki Namaz Padhe, Balki Qaza Namazo Me Se Haiz Ke Din Hata Diye Jaye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Haiz Ki Zyada Se Zyada Muddat Kitne Din Hai?
Answer

Haiz Ki Zyada Se Zyada Muddat 10 Din ki Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Kya Aurat Ko Zam Zam Ka Pani Nange Sar Pina Hoga?
Answer

Agar Aurat Ghar Me Hai To Aisa Karne Me Harj Nahi Yani Sar Ka Khula Rakhna, Bahar Hai To Sar Dhak Kar Hi Piya Jayega.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Agar Khawateen Shohar Ke Kufr Ki Wajah Se Alag Ho toh kya Marne Ka Pension Le Sakti Hai?
Answer

Pura sawal: Agar Khawateen Shohar Ke Kufr Ki Wajah Se Alag Ho Aur Use Pata Na Ho Ke Shohar Zinda Hai Ya Nahi To Kya Wo Govt. Se Shohar Ke Marne Ka Pension Le Sakti Hai?

Answer: Nahi