04 May 2024
Ji Haan, de sakte hai.
23 Jan 2024
Uske Maal e Wirasat Se Ada Karen Zakat, Agar Maal Na Ho To Koi Aur Uski Taraf Se Ada Kar De.
23 Jan 2024
Jo Sadqa Apne Upar Lazim Kar Liya Jaye Jaise Mannat, Kaffara, Waghaira Ya Phir Shariat Ne Aap Par Lazim Qarar Diya Jaise Zakat Fitra Waghaira Wo Farz Ya Lazim Hai Iske Siwa Jo Sawab Ki Niyat Se Allah Ki Raah Me Kharch Kare Nafil Hai.
23 Jan 2024
Gold Ka Zewar Dene Se Zakat Ho Jayegi Shadi Karane Se Nahi Hogi, Albatta Shadi Ke Tamam Kharch Ka Paisa De Dene Se Ho Jayegi.
23 Jan 2024
Haan Nikal Sakte Hain Balki Jis Maah Zakat Farz Hoti Hai Usi Maah Nikalna Chahiye.
23 Jan 2024
Haan Zakat Farz Hai, Total 10.5 Tole Sone Ki Zakat Deni Hai 0.5 Tola Ki Zakat Nahi Hogi.
23 Jan 2024
Agar FD Ki Raqam Nisab Ko Hain Aur Ek Saal Se Zyada Ho Gaya To Us Par Zakat Deni Hogi Jab Ki Ye Itna Qarzdar Na Ho Ki Qarz Dene Se Nisab Se Kam Maal Bache, Albatta Zakat Ke Liye FD Break Karna Zaroori Nahi Udhar Le Kar Bhi Zakat De Sakta Hai.
23 Jan 2024
2024 Me Sirf 20 Hazar Par Zakat Nahi Hai.
23 Jan 2024
Agar Agli Jitni Raqam Apke Paas Hai Us Par Zakat Banti Hogi To Zakat Deni Hogi Lekin Agar Agle Saal Apke Paas Paise Utne Rahe Aur Sone Chandi Ke Daam Zyada Badh Gaye To Zakat Nahi Hogi
23 Jan 2024
Le Sakte Hain, Bachna Behtar Hai.
23 Jan 2024
Nahi, Kisi Bhi Badmazhab Ko Zakat Dene Se Zakat Ada Nahi Hogi.
23 Jan 2024
Jo Kapde Apni Zaroorat Ke Pehnne Ke Liye Kharide Ho Un Par Zakat Nahi Chahe Sardi Ke Ho Ya Garmi Ke Ya Shadi Waghaira Ke. Albatta Agar Kapde Bechne Ke Liye Kharide Gaye Hain To Wo Maal e Tijarat Hai Us Par Zakat Ho Sakti Hai.