Malikah-e-Bilqees ka takht-e-shahi 80 gaz lamba aur 40 gaz chora tha, yeh sonay chandi aur tarah tarah kay jawahraat aur motiyon say aarastah tha, jab Hazrat Sulaiman عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ nay Bilqees kay qasid aur us kay taha'if ko thukra diya aur usko yeh khat bhaija keh woh musalman ho kar mayray darbar main hazir ho ja`ay tau aap kay dil main yeh khuwahish paida hui keh Bilqees kay yahan aanay say pehlay say hi uska takht mayray darbar main aaja`ay.
Takht mangwanay say aap ka maqsood yeh tha keh uska takht hazir kar kay usay mu'jizah dikha dain takeh us par Aap عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ki Nubuwwat ki haqqaniyyat (ya'ni sachaee) zahir ho ja`ay keh mu'jizah Nabi ki sadaqat par daleel hota hai. Ba'az mufassireen nay fermaya keh: Hazrat Sulaiman عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ nay chaha keh Bilqees kay aanay say pehlay us takht ki hai`yat aur soorat badal dain aur is say uski ‘aqal ka imtayhan farma`ayn keh wo apna takht pehchan sakti hai ya nahi.
Chunan-cheh, Aap nay apnay sathiyon say fermaya jisay Quraan-e-Kareem main kuch yun bayaan kiya gaya hai:
Sulaiman nay fermaya: Ay darbariyo! Tum main kon hai jo un kay mayray pas farman-bardaar ho kar aanay say pehlay us ka takht mayray paas lay aa'ay. Aik bara khabees jin bola keh wo takht Aap ki khidmat main aap kay is maqaam par kharay honay say pehlay hazir kar dunga aur main bayshak is par quwwat rakhnay wala amanatdaar hun.
Tarjama-e-Kanz-ul-Irfan
Jin ka bayaan sun kar Hazrat Sulaiman عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ nay fermaya: Main yeh chahta hun keh us say bhi jald woh takht mayray darbaar main aaja`ay. Yeh sun kar aap kay wazeer Hazrat Asif Bin barkhiyaa jo ism-e-A’azam jaantay thay aur aik ba karamat wali thay, unhon nay Hazrat Sulaiman عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ say ‘arz kiya jiska Quraan-e-Kareem main kuch yun bayaan hai, Parah 19 Surah Al-Naml Aayat 40
Tarjama-e-Kanz-ul-Irfan: Us nay ‘arz ki jis kay paas kitab ka 'Ilm tha keh main usay Aap ki bargah main Aap kay palak jhapaknay say pehlay lay aaon ga. Hazrat Asif Barkhiya nay rohani quwwat say Bilqees kay takht ko mulk-e-Saba say bait-ul-Muqaddas tak Hazrat Sulaiman عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ kay mehal mayn kheench liya aur woh takht zameen kay neechay neechay chal kar lamha bhar main aik dam Hazrat Sulaiman ki kursi k qareeb namudaar ho gaya.1 Allah Rabb-ul-Izzat ki un par rahmat ho aur un kay sadaqay hamari bay hisab maghfirat ho.
Pyare pyare Islami Bhaiyo! Jahan is waqi'ay main Hazrat Asif bin Barkhiya ki karamat ka bayaan hai wahin Qur'aan-e-Kareem main Aap kay ba-kamaal honay ki khusoosiyat "ilm" bayan hui.
Ilm-e-Deen bari Afzal 'ibadat hai jaisa keh Abdullah bin Mubarak رَحْمَةُ الله عليه say poucha gaya keh: Insaan kon hain? Fermaya: Ulama. Phir poucha gaya: Baadshah kon hain? Fermaya: Parhaizgaar. Phir poucha gaya: Ghatiya log kon hain? Fermaya: Jo deen kay badlay duniya hasil kartay hain.
Reference: Ilm-e-Deen Kay Fazail By Dawate Islami