24 Apr 2024
Nazar ka lagna HAQ hai hadis se sabit hai.
Nazar ke lagne par Surah Al-Qalam ki ayat 51 padh kar dam kiya jaye.
وَاِنۡ يَّكَادُ الَّذِيۡنَ كَفَرُوۡا لَيُزۡلِقُوۡنَكَ بِاَبۡصَارِهِمۡ لَمَّا سَمِعُوا الذِّكۡرَ وَيَقُوۡلُوۡنَ اِنَّهٗ لَمَجۡنُوۡنٌۘ
Nurool irfan Safah: 971 par hai
Yeh ayat nazr e bad se bachne ke liye ikseer hai
Khazain al irfan Safah: 1019 par hai
Hazrat e Hasan basri (radiallah anhu) ne farmaya: Jis ko nazar lage usko ye ayat padh kar dam kar dee jaye.
23 Jan 2024
Quran, Fatiha, Sadqa, Shehed, Zaitoon, Zamzam, Barish Ka Pani Waghaira Waghaira.
23 Jan 2024
Salam Tanha Bhi Padh Sakte Hain Buland Awaz Na Ho Agar Namazi Bhi Hon To.
23 Jan 2024
Jaiz Hai, Kare Sawab Hai.
23 Jan 2024
Digital Photo Par Agarche Ikhtilaf Hai Magar Dua Ke Liye Kehne Ke Liye Social Media Par Photo Share Ki Zaroorat Nahi Hoti. Lihaza Naam Ke Sath Dua Ki darkhwast Ki Ja Sakti Hai Warna Ghar Khandan Wale Khud Isal e Sawab Karen.
08 Jan 2024
Han Naujawan Bhi Dam Kar Sakta Hai Durood Padh Kar Ya Kalima Padh Kar Bhi
08 Jan 2024
Pet Bhara Hua Hoga, Tawajjo Apne Maqsad Me Na Hogi.
08 Jan 2024
Ji Haan Maghrib Se Kuch Waqt Pehle Dua Ki Qubuliyat Ka Waqt Hota Hai Khaskar Jumua Ke Din.
08 Jan 2024
Papa Ki Baat Ghalat Hai Gustakh e Rasool Se Ittihad Nahi Ho Sakta Aur Musalman Buzdil Nahi Hota, Agar Apke Walid Buzdil Hai To Unhe Apna Iman Pakka Karna Chahiye Shayad Usme Kamzori Hai.
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
08 Jan 2024
Ji Haan Farz Namaz Ke Bad Dua Karna Chahiye Iska Hukum Hai Aur Wo Dua Ki Qubuliyat Ka Waqt Hota Hai.
08 Jan 2024
Ek Dua Hai Jo Ahanaf Ke Nazdeek Fajr Me Musibat Ke Waqt Padhi Jati Hai Aur Ruku Se Pehle Na Ki Ruku Me
08 Jan 2024
Agar Dushman Aisa Zalim Hai Ki Jisse Jan-Mal Ka Khatra Hai Aur Samjhane Par Baz Nahi Aata To Qanuni Madad Leni Chahiye, Bad-Dua Se Bachna Chahiye, Aur Agar Uske Halak Hone Me Hi Logo Ya Ilaqe Ki Bhalai Hai To Fir Kar Sakte Hain Magar Aisi Surat Hoti Nahi Log Bana Lete Hain.