Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site
Jumu'ah ke 10 bade fazail
Admin
Admin

26 Sep 2023

6 mins read

Jumu'ah ke 10 bade fazail

بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ

Jumu'ah kay ma'na Hakeem-ul-Ummat Hazrat Mufti Ahmad Yar Khan رَحْمَةُ الله عليه farmatay hayn: 

Hazrat Aadam عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ki mitti isi din jama' huyi neez is din mayn log jama' ho kar Namaz-e-Jumu'ah ada kartay hayn, in wujooh say isay Jumu'ah kehtay hayn. Islam say pehlay ahl-e-‘arab isay ‘Aroobah kehtay thay. (Mirat-ul- Manajih, Jild. 2, Safhah. 317, Mulakkhasan)

Huzoor ﷺ ka farman-e-aalishan hay: Jumu'ah ka din tamam dinon ka Sardar hay aur Allah Pak kay nazdeek sab say bara hay aur woh Allah Pak kay nazdeek ‘Eid-ul-Azha aur 'Eid-ul-Fitr say bara hay. 

Is may 5 khusosiyyatayn hayn: 

  1. Allah Pak nay isi may Aadam عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ko payda kiya aur 
  2. Isi may zameen par unhayn utara aur 
  3. Isi may unhayn wafat di aur 
  4. Is may aik sa'at (ya'ni ghari)aysi hay kay bandah us waqt jis cheez ka suwal karay ga woh usay day ga jab tak haraam ka suwal na karay aur 
  5. Isi din may Qayamat qaaim ho gi. Koi muqarrab firishtah-o-aasman-o-zameen aur hawa-o-pahaar aur darya aysa nahin kay Jumu'ah kay din say darta na ho.

Reference: Ibn-e-Majah, Jild 2, Safhah 8, Hadees 1084)

1. Jumu'ah kay liye jaldi nikalna hajj hai

Alah Pak kay aakhiri Rasool صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ nay farmaya: Bila shubah tumharay liye har Jumu'ah kay din may aik Hajj aur aur aik umrah maujood hay, lihaza jumu'ah ki namaz kay liye jaldi nikalna hajj hay aur Jumu'ah ki namaz kay ba'd Asr ki namaz kay liye intizar karna Umrah hay.(Sunan-e- Kubra, Jild. 3, Safhah. 342, Hadees 5950)

2. 200 saal ki ibadat ka sawab 

Pyare Aaqa صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ nay Irshad farmaya: 

Jo Jumu'ah kay din nahaey us kay gunah aur khataeyn mita di jati hayn aur jab chalna shuru' kiya to har qadam par 20 naykiyan likhi jati hayn. (Mu'jam-e-Kabeer, Jild. 18, Safhah. 139, Hadees 292

Aur dusri riwayat may hay: Har qadam par 20 saal ka amal likha jata hay aur jab namaz say farigh ho to usay 200 baras kay amal ka ajr milta hay. (Mu'jam-e-Awsat, Jild. 2, Safhah. 314, Hadees 3397)

3. Firishtay khushnaseebon kay naam likhtay hai

Mustafa Jaan-e-Rahmat صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ ka Irshad-e-girami hay: Jab Jumu'ah ka din aata hay to Masjid kay darwazay par firishtay aanay walay ko likhtay hayn, jo pehlay aaey us ko pehlay likhtay hayn, jaldi aanay wala us shakhs ki tarah hay jo Allah Pak ki raah may aik ount (camel) Sadaqah (ya'ni khayrat) karta hay, aur us kay ba'd aanay wala us shakhs ki tarah hay jo aik gaey (cow) sadaqah karta hay, is kay ba'd wala us shakhs ki misl hay jo mayndha (Goat/sheep) sadaqah karay, phir us ki misl hay jo murgha (Cock / Hen) sadaqah karay, phir us ki misl hay jo anda (Egg) sadaqah karay aur jab imam (khutbay kay liye) bayth jata hay to woh (ya'ni firishtay) a'maal naamon ko lapayt laytay hayn aur aa kar Khutbah suntay hayn.'(Bukhari, Jild. 1, Safhah. 319, Hadees 929)

4. Jumu'ah ko Maan baap ki qabr par haaziri ka sawab 

Pyare Aaqa صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ hai: Jo apnay maa baap donon ya aik ki qabr par har Jumu'ah kay din Ziyarat ko haazir ho, Allah Pak us kay gunah bakhsh day aur maa baap kay sath acha bartao karnay wala likha jaey ga. (Mu'jam-e-Awsat, Jild. 4, Safhah. 321, Hadees 6114

Pyare Pyare Aaqa صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ nay Irshad farmaya: Jo shakhs roz-e-jumu'ah apnay walidayn ya aik ki qabr ki Ziyarat karay aur us kay paas Yaseen parhay bakhsh diya jaey ga. (Al- Kamil fi Zu'afa-ir-Rijaal, Jild. 6, Safhah. 260

Huzoor صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ ka farman hay: Jo har Jumu'ah walidayn ya aik ki Ziyarat-e-Qabr kar kay wahan Yaseen parhay, Yaseen (shareef) may jitnay harf hay un sab ki ginti kay barabar Allah Pak us kay liye maghfirat farmaey ga. (Ithaf-us-Sadah, Jild. 14, Safhah. 272)

5. Jumu'ah kay 'imamah ki fazeelat 

Huzoor صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ ka Irshad-e-Girami hay: Bayshak Allah Pak aur us kay firishtay Jumu'ah kay din imamah baandhnay walon par Durood bhayjtay hayn. 

(Majma'-uz-Zawaaid, Jild. 2, Safhah. 394, Hadees 3075) 

Allah Pak aur firishton kay Durood bhayjnay kay ma'na

Aye 'Aashiqan-e-Namaz! Bayan kardah Hadees Pak may Allah Pak aur Us kay firishton ka Jumu'ah kay din 'imamah Shareef baandhnay walon par Durood bhayjnay ka zikr hay yaad rahay is say ma'roof Durood murad nahin balkay Allah Pak ka apnay bandon par Durood bhayjnay ka matlab hay rahmat naazil farmana aur firishton kay Durood bhayjnay ka matlab hay Istighfar karna (ya'ni maghfirat talab karna). (Fath- ul-Baari, Jild. 12, Safhah. 131)

6. 10 din tak balaaon say hifazat 

Hazrat Maulana Amjad ‘Ali A'zami farmatay hayn: Hadees Pak may hay: Jo Jumu'ah kay roz nakhun tarashwaey (ya'ni katwaey) Allah Pak us ko dusray Jumu'ay tak balaoon say mahfooz rakhay ga aur 3 din zaaid ya'ni 10 din tak. Aik riwayat may yeh bhi hay kay jo Jumu'ah kay din nakhun tarashwaey (ya'ni katwaey) to rahmat aaey gi gunah jaeyn gay. (Bahar-e-Shari'at, Hissah 16, Safhah. 226 - Durr-e-Mukhtar, Jild. 9, Safhah. 668 ta 669)

Hazrat 'Allamah Mufti Muhammad Amjad ‘Ali A'zami farmatay hayn: Jumu'ah kay din nakhun tarashwana Mustahab hay, haan agar ziyadah barh gaey hon to Jumu'ah ka intizar na karay kay nakhun bara hona achha nahin kyun kay nakhunon ka bara hona tangi-e-rizq ka sabab hay. (Bahar-e-Shari'at, Hissah 16, Safhah. 225)

7. Donon Jumu'ah kay darmiyan noor

Sahabi Ibn-e-Sahabi Hazrat Sayyiduna ‘Abdullah ibn 'Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ :say marwi hay: Huzoor صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Jo shakhs Jumu'ah kay roz Surah Kahf parhay us kay qadam say aasman tak noor buland ho ga jo qiyamat ko us kay liye roshan ho ga aur 2 jumu'on kay darmiyan jo gunah huway hayn bakhsh diye jaeyn gay. (Attargheeb Wattarheeb, Jild. 1, Safhah. 298, Hadees 2)

Hazrat Sayyiduna Abu Sa'eed رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ say marwi hay, Huzoor صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ ka farman Noor-un-‘Ala Noor hay: Jo shakhs baroz-e-jumu'ah Surah Kahf parhay us kay liye donon Jumu'on kay darmiyan noor roshan ho ga. (As-Sunan-ul-Kubra, Jild. 3, Safhah. 353, Hadees 5996)

8. Surah Haa Meem Al-Dukhan ki fazeelat 

Piyaray Piyaray Aaqa صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ ka farman-e-jannat nishan hay: Jo shakhs baroz-e-jumu'ah ya shab-e-jumu'ah Surah Al- Dukhan parhay us kay liye Allah Jannat may aik ghar banaey ga. (Mu'jam-e-Kabeer, Jild. 8, Safhah. 264, Hadees 8026

Aik riwayat hay kay: Us ki maghfirat ho ja'ay gi. (Tirmizi, Jild. 4, Safhah. 407, Hadees 2898)

9. Jumu'ah ta Jumu'ah gunahon ki mu'afi

Hazrat Sayyiduna Salman Farsi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ say marwi hay, Huzoor صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ ka farman hay: Jo shakhs jumu'ah kay din nahaey aur jis Taharat (ya'ni pakeezgi) ki istita'at ho karay aur tayl (oil) lagaye aur ghar may jo khushbu ho malay phir namaz ko niklay aur do shakhson may judaey na karay ya'ni do shakhs baythay huway hon unhayn hata kar beech may na baythay aur jo namaz us kay liye likhi gaey hay parhay aur imam jab Khutbah parhay to chup rahay, us kay liye un gunahon ki, jo is jumu'ah aur dusray jumu'ah kay darmiyan hayn maghfirat ho jaey gi. (Bukhari, Jild. 1, Safhah. 306, Hadees 883)

10. Har Jumu'ah ko aik karoor 44 lakh Jahannam say aazad

Sarkar-e-Madinah صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ ka farman hay: Jumu'ah kay din aur raat may 24 ghantay hayn koi ghanta aysa nahin jis may Allah Pak Jahannam say 6 lakh aazad na karta ho, jin par Jahannam Wajib ho gaya tha. (Musnad-e-Abu Yaʼla, Jild. 3, Safhah. 291-235, Hadees 3421-3471)

Reference: jumuah Kay Fazail By Dawate Islami

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Admin

Admin

My Sunni World is an Islamic website dedicated to teaching people about the religion especially the correct belief, and answering to questions related to Islamic law.

You may also read

Comments