Pura Suwal: Aaj kal dekha jata hai ke kuchh buzurg log masjid me kursi par namaz ada karte hain. Halanke wo ghar se khud apne pero se araam se chal kar aate hain Kya inka aisa karna durust hai? Ye bhi irshad farmayen ke kab qayam saqit hota hai!
Bahare Sahriat hissa 3 Jild: 1, Safah: no 58/59 me likha hai.
Aisa karna bilkul durust nahi is liye ke khade hone se mahaz kuchh takleef hona uzr nahi. Balke qayam us waqt saqit hoga k khada na ho sake ya sajda na kar sake ya khade hone me ya sajda karne me zakham bahta hai ya khade hone me qatra aata hai ya chothaai satr khulta hai ya qirat se majbure mahaz ho jata hai yun hi khada ho sakta hai magar usse marz me zyadti ho hoti hai ya der me achha hoga ya na qabile bardasht takleef ho gi to baith kar padhe.
Or agar asaa (stick) ya khadim ya deewar par tek laga kar khada ho sakta hai to farz hai k khada ho kar padhe. Agar kuchh der khada ho sakta hai agarche itna hi khada ho ke allahu Akbar kah le to farz hai k khada ho kar itna kahe.