21 Jan 2024
Sunnat Ye Hai Ki Jaise Hi Imam Ek Taraf Salam Pherna Shuru Kare Muqtadi Bhi Fauran Salam Pherna Shuru Kar De, Suwal Me Jis Tariqe Ko Sunnat Kaha Gaya Wo Ghalat Hai
21 Jan 2024
Jaan Kar Padha To Namaz Dohrani Hogi Warna Nahi.
21 Jan 2024
21 Jan 2024
Agar akhri Rakat Me Shamil Huye Hain To Shuru Ki 2 Rakat Me Qirat Karna Hai Akhri Wali Me Nahi Karna, Shayad Yahi Puchna Hai Apko.
21 Jan 2024
Pura Sawal: Zohar Ki Farz Namaz Ki Akhri Rakat Me Imaam Qaide Me Tha Muqtadi Aaya Aur Jaise Hi Allahu Akbar Keh Kar Niyat Bandhi Imaam Ne Salam Pher Diya To Muqtadi Jamaat Me Shamil Hua Ya Nahi?
Answer: Jis Tarah Suwal Me Likha Hai Is Tarah Se Agar Muqtadi Salam Pherne Se Pehle Bhi Baith Jata To Bhi Use Namaz Nahi Milti, Is Mas'ale Me Farz Qiyam Ka Khayal Nahi Rakha Jata
21 Jan 2024
Taziyon Me Dhol Bajana Fasiqon Ka Kaam Hai, Aisa Shakhs Jo Logo Me Ailaniya Dhol Bajata Ho Qabil e Imamat Nahi Hai Jab Tak Ailaniya Tauba Na Kar Le.
21 Jan 2024
Ruku Agar Mil Gaya To Jamaat Mil Gai Agar Ruku Ke Baad Shamil Huye Maslan Sajde Me To Rakat Nahi Mili.
21 Jan 2024
Imam Jo Namaz Ke Liye Mukarrar Hai Use Har Namaz Se Pehle Kisi Ki Ijazat Lene Ki Zaroorat Nahi, Albatta Itna Ho Sakta Hai Ki Agar Masjid Me Imam Ke Paas Koi Mehman Sayyid Aaye Hon Aur Unhe Namaz Padhane Ko Kahe Aur Wo Mana Kar De To Fir Aarzi Ijazat Leni Chahiye Aur Ye Mehman Ke Ehtram Ki Wajah Se.
21 Jan 2024
Ji Haan, Tashahud Padhna Hoga.
21 Jan 2024
Nafil Ko Tark Karna Gunah Nahi Hai Lihaza Aise Imam Ke Piche Namaz Padhne Me Koi Karahat Nahi Hai.
21 Jan 2024
Nahi Aisa Nahi Hai, Balki Har Wo Sahi Ul Aqeeda, Ba-Shara Shakhs Jo Taharat Aur Namaz Ke Masail Se Achchi Tarah Waqif Ho Imamat Karwa Sakta Hai, Baki Maulana, Aalim, Mufti, Wagera Ke Ilmi Darjat Aam Shakhs Se Zyada Hain To Wo Aur Zyada Haqdar Hain Imamat Ke, Siwa Uske Ki Jo Naam Ka Aalim Ho Aur Masail Se Waqif Na Ho.
21 Jan 2024
Jamaat Me Agar Wuzu Toot Jaye To Fauran Namaz Tod Kar Apni Saf Se Namaziyon Ke Aage Se Guzarte Huye Bahar Aa Jaye Aur Wuzu Karke Fir Wahin Khada Ho Kar Namaz Poori Kare, Agar Jamaat Nikal Jaye To Apni Padhe.