Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Namaz

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Namaz Me Wajib Chutne Se Namaz Wajib Ul Iyada Hoti Wo Kaise Padhe Kya Wo Namaz Padhna Zaroori Hai?
Answer

Iska Matlab Hai Farz Zimme Se Ada Ho Gaya Magar Usme Karahat Baki Hai Lihaza Wajib Ul iyada Namaz Fir Se Dohrai Jayegi Albatta Waqt Ki Qaid Us Par Se Khatam Hai

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Hath Khol Kar Namaz Padhna Kaisa?
Answer

Khilaf e Sunnat Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Imam Ke Piche Namazi Ko Surah Fatiha Padhna Zaroori Hai?
Answer

Imam Ke Piche Surah Fatiha Padhna Jaiz Nahi Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Agar Badmazhab Ke Piche Namaz Padhi To Us Namaz Ko Qaza Kar Sakte Hain Ya Phir Dohrani Padegi?
Answer

Namaz Dohrani Hogi Yani Waqt Rehte Usi Waqt Me Qaza Se Pehle Padhni Hogi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Jahri Namaz Me Surah Fatiha Aur Surah Se Pehle Bismillah Buland Awaz Se Padhe Ya Ahista?
Answer

Jin Namazo Me Qirat Buland Awaz Se Hogi Usme Bhi Sirf Tasmia Ahista Hi Se Padhna Sunnat Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Masjid Me Chatai Bichi Hoti Hai Kya Namaz Padhte Waqt Sirf Sajde Ki Jagah Pe Kapda Rakh Sakte Hain?
Answer

Haan Rakh Sakte Hain Rumal Ya Koi Aur Cheez Agar Sajde Me Dikkat Hoti Ho Toh.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Namaz Ke Dauran 4 Ungali Ki Jagah 10 Ya Usse Zyada Ka Fasla Karna Kaisa?
Answer

4 Ungali Ka Fasla Mustahab Hai 10 Ka Khilaf e Sunnat.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Cold Drink Pine Ke Baad Bina Kulli Kiye Namaz Padh Sakte Hain?
Answer

Padh Sakte Hain Behtar Thoda Ruk Jana Hai Ki Uske Baad Dakaar Aane Ka Wait Kar Le Warna Namaz Me Dakar Shuru Ho Jayegi.