Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Namaz

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Tahajjud ki namaz me kitni rakat padhna chahiye?
Answer

Kam se kam tahajjud ki 2 rakat hai or Huzoor عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ se 8 tak sabit hain. (Bahar-e‐shariat)

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Namaz e Tahajjud padhne ka kya waqt hai?
Answer

Tahajjud ka koi waqt mukarrar nahi hai. Baad Isha, kuchh der so jaane ke baad bhi Padhi jaa sakti hai. Soye bager padhe to tahajjud nahi. Aur logo me jo ye mash'hoor hai ki 12 ke bad tahajjud ka waqt hota hai ye ghalat hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Khushu aur khuzu namaz mein kya hota hai?
Answer

Ye dil ki kaifiyat ka ek naam hain Aur Firoz Ul Lughaat safe:591‐592 par hai Khushu: ajizi, gidgidana, Khuzu:‐ ajizi, gidgidana.

Namaz me is tarah hasil kiya jaye, Ki banda jab namaz ko khada ho to bas ye Samajh le ki ye uski zindagi ki akhri namaz hai Fir use koi moka nahi milna. Isi namaz ko Jitna achcha or behtar, dil laga kar padh lu to achha hai. Kyunki aaj kal dil me khyalat itne aate hai ki ye Tasawwur nahi jam pata ki Allah dekh raha hai Or naa ye ki ham Allah ko dekh rahe hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Namaz me Agar Koi samne se Nikal Jaye toh kya Namaz Toot Jaati Hai?
Answer

Is Suwal ka Jawab dete huye, Mere Aaqa Ala-Hazrat Imam Ahle Sunnat Farmate hai, Namaz me koi khalal nahi aata, nikalne wala Gunahgaar hota hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

02 Jan 2024

Agar musafir ko zohar ki jamaat mil jaye lekin uski shuru ki char rakaat chhoot jaye to kab pade?
Answer

Musafir ko sunnat me koi qasr nahi. Lihaza agar zohar ki farz jamat se padh liye or shuru ki 4 sunnat naa padh paya to bad me padhe. 

Ab raha ye ki ye sunnat, 2 rakat sunnat ke bad padhe ya pehle. Toh isme ikhtiyar hai, Ki bad me pade ya pehle or behtar yahi hai ki, pehle 2 sunnat padhe or 4 rakat jo chhut gai wo bad me.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

01 Oct 2023

Chain ki ghadi pahen kar namaz padhne se kya namaz nahi hoti hai
Answer

Chain wali ghadi pehenkar namaz padhne Se namaz ho jayegi, albatta isse bachna behtar Hai, kyunki isme ulama ahle sunnat ka ikhtilaf hai, Or ikhtilafi masail se bachna mustahab hai, Behtar yahi he ki dauran e namaz ise utar diya jayejaye

Sikander Warsi
Sikander Warsi

28 Sep 2023

Kya fate pajame par namaz nahi hoti hai
Answer

Agar kapda aisi jagah se fata hua hai ki jo hissa namaz Me chupana zaruri tha to aisi surat me namaz nahi hogi.

Yani sitr ke khula rehne ki surat me, kyunki namaz me sitr ka chipana namaz ki sharto me shamil hai. Aur shart poori naa karne ki surat me namaz shuru hi nahi hogi,

Sikander Warsi
Sikander Warsi

24 Sep 2023

4 rakat Namaz me dusri rakat me Atayyahat padna bhool gaye aur khada ho gaye
Answer

Teesri rakat me agar bhool se seedha khada ho jao to bethna nahi chahiye balki namaz ke akhir me sajda sahav kara jayega.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

22 Sep 2023

Agar mori palti ho to namaz ho jayegi kya?
Answer

Namaz me payncho ka morna makruh tehrimi hai. Chahe halat e namaz me modey jaye ya namaz Shuru karne se pehle. Aur is tarah padhi gai namaz fir se padhna wajib hai. Agar kisi ki mori ulti dekhe or fasad ka andesha naa ho to pyar se samjha sakte hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

20 Sep 2023

Fazr ki namaz padne ke baad kya so sakte hai?
Answer

Ji, namaz e fajr ke bad sone me sharann to koi harj nahi so sakte hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

19 Sep 2023

Nind ke ghalbe me namaz padhna kaisa hai?
Answer

Namaz nahi hogi, Balki agar ek ruku bhi sota raha to wo bhi ada naa hoga.