21 Jan 2024
Agar Apne Ye Suna Wahan Ke Logon Ke Zariye Se Hai Aur Apko Batane Wale Par Yaqeen Ho Ki Sahi Bol Raha Hai Ya Fir Apne Khud Koi Aisi Baat Imam Se Suni Ya Usme Dekhi Ki Wo Shia Hai Ya Fir Kisi Bhi Batil Aqeede Ka Hai To Behtar Hai Apni Namaz Padhi Jaye Aur Raha Mujawiro Ka Haal To Unme Se Aksariyat Jahilo Ki Hai Jo Sahaba Par Bhi Bhokne Se Baaz Nahi Rehte, Unke Piche Namaz To Door Unko Salam Tak Na Kiya Jaye.
21 Jan 2024
Dadhi Ka Ek Musht Se Kam Karna Haram Hai, Aiso Ki Nisbat Imam e Ahle Sunnat Fatawa Razaviya Me Farmate Hain Ki, Aiso Ko Imam Banana Jaiz Nahi Aur Unke Piche Padhi Namaz Dohrana Wajib Hai.
21 Jan 2024
Namaz Ho Jayegi Agar Bhul Se Aisa Hua Ho. Imam Ke Piche Sajda Sahw Ni Hoga.
21 Jan 2024
Jis Imam Me Sharait e Imamat Pai Jaye Uske Pichhe Namaz Durust Ho Jayegi, Dil Ke Waswaso Ka Khayal Na kiya Jaye.
21 Jan 2024
Farz Namazo Ko Bila Uzr Qaza Kar Dene Wala Shakhs Fasiq Hai Aur Fasiq Ko Imam Banana Jaiz Nahi.
Fasiq Ki Imamat Ke Bare Me Farmaya Gaya, “Fasiq Ke Piche Namaz Padhna Ek Gunah Hai, Aur Usey Imam Banana Dusra Gunah Hai, Aur Agar Kisi Tarah Imam Ho Gaya To Bila Majboori Us Ke Piche Namaz Padhna Ek Gunah Hai".
21 Jan 2024
Agar Khoon Zyada Hao To Wuzu Toot Jayega Aur Wuzu Tootne Se Namaz Bhi.
21 Jan 2024
Masjid Me Topi Hoti Hai Wo Pehen Le Aur Agar Aise Hi Namaz Padh Li To Namaz Ho Jayegi.
21 Jan 2024
Namaz Ho Jayegi Jo Log Umooman Aisa Kapda Pehnte Hai Aur Karahat Ulama Ne Bayan Ki Wo Tanzihi Hai Wo Bhi Un Logo Ke Liye Jo Us Libas Ko Pehen Kar Logo Me Nahi Jate.
21 Jan 2024
Naaf Ke Niche Bandhe Ki Yahi Sunnat Hai Mard Ke Liye.
21 Jan 2024
Namaz Shuru Kar Di Hai To Padh Sakte Hain Shuru Nahi Ki Hai To Phir Theher Jana Behtar Hai Baki Padh Li To Namaz Ho Jayegi.
21 Jan 2024
Witr Padhna Wajib Hai Lihaza Unhe Bhi Padha Jayega.
21 Jan 2024
Fajar Ki Namaz Waqt Khatm Hone Se 1 Minute Pehle Bhi Padh Li To Namaz Ho Jayegi.