Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Namaz

Admin
Admin

14 Sep 2023

4 rakat namaz ki Niyat bandhi 2 rakat pe salam fer liya ab kya kare?
Answer

4 rakat ki niyyat bandhi aur 2 par salam pher diya to jab tak koi munafi e namaz kaam na paya jaye jese kalam karna salam karna kisi ko waghairah ye usi par bina kare yani 2 yaad aate hi 2 rakat or padh le aur sajda e sahw karle. 

Ye surat farzo ki hai agar nafil me aisa hua hai to 2 rakat padne ki hajat nahi nafil ka har qada, Qada e akhirah hota hai.

(Jawab by :Hazrat e allamah Abu riyan Mufti Muhammad Shaneilahi Al‐Madani)

Sikander Warsi
Sikander Warsi

13 Sep 2023

Kidney me pathri hone ki wajah se namaz nai padhi 5 saal se, Namaz ka kya hukum hai?
Answer

Pura Sawal: mere dost ke dono kidney me pathri hai iski wajah se wo 5 saal se roza nahi rakh paya hai Kiyun ki khali pet rahne se uske pet me dard hota hai To wo is surat me kya kare qaza karke bhi nahi rakh sakta Kiyun ki pathri nahi nikal rahi hai Aur wo uski dawai 5 saal se kha raha hai lekin koi fayeda nahi hai usne kuchh miyan aur maulana logon se puncha to unhone kala jadu bataya hai Hazrat iska bhi koi ilaaz bataye.

Jo shaks kisi beemari ki wajah se roza nahi rakh paa raha To thik hone ke baad qaza karni hogi, Chahe 10 sal bad thik ho, warna sardi ke chhote din hote hai Jab koi surat nikale, beharhal fidiye ka hukm nahi hoga. Ilaj ke liye apne ilaqe ke tawizat e attaria ke Baste se rabita kare, Shifayab ho jayega.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

12 Sep 2023

Bagal ke baal badh jaye toh namaz hogi?
Answer

Namaz ho jayegi, Magar har hafte saf karna mustahab hai, 40 din me ke bad wajib, warna gunahgar hoga.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 Sep 2023

Jis pant me button ke barabar picture bani hai usme kya namaz hogi?
Answer

Jandar ki tasweer wala kapda pehen kar namaz makruh tehrimi hogi. Aur namaz ke alawa bhi aisa kapda pehanna najaiz he. 

Ab jab kisi ne khareed hi liya to bina pehne baz naa ayega to behtar hai. Namaz kisi pak saf musalmano wale libas me ada kar le.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Sep 2023

Eid ki namaz Aurat kitni rakat padti hai Aur niyat kaise ki jati hai
Answer

Eid ki namaz padhne ke liye wahi sharte hai jo juma ke liye hai.

Aur Aurat Eid ki namaz nahi padti. Aurat par Eid or jumah ki namaz padhna wajib nahi. Aurat ko kisi jamat ki hazri jaiz nahi Jumah ho ya Eid

Jaisa ki Fatawa Faizur rasool Jild: 1, Safah:425 par hai “Aurat ko Eidgah ki hazri jaiz nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Sep 2023

Namaz ke baad masjid me so jana ya phir let jaana kaisa?
Answer

Etikaf wale or musafir ko harz nahi. Baki logo ko aisa nahi karna chahiye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Sep 2023

Imam ko ghalat lukma de diya hai aur imam ne Le liya ya nai liya toh kya hoga
Answer

Muqtadi ko shak hua ki imam ne kuchh chhor diya hai jabki Imam ne durust padha tha, Lihaza usne luqma diya aur iman ne le liya to sab ki Namaz jaati rahi.

Aur Agar imam ne nahi liya to sirf luqma dene wale ki namaz gai,

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Sep 2023

Qa’ada akhira me agar muqtadi durood pak tak hi padh paya fir kya kare
Answer

Pura sawal: Qa’ada akhira me agar muqtadi durood pak tak hi padh paya or imam ne salam fer liya to kya muqtadi ko bhi usi waqt salam fer lena chahiye ya azabn‐naar Tak mukammal padh kar salam fere?

Tashahud padh chuka ho or durood naa padhi ho Ya durood bhi padh li ho or dua naa padhi ho to bhi Salam fer sakta hai. Aur agar tashahud yani attahiyyat abhi mukammal naa hui ho to, chahiye ki poori kare. 

Imam ke salam fer‐ne se muqtadi namaz se bahar Naa hoga jab tak khud ka salam naa fer le.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Sep 2023

Namaz ke har rukn me nazre kaha honi chahiye
Answer

Qiyam me‐ Sajde ki jagah 

Ruku me‐Qadmo par 

Koma me‐ sajde ki jagah 

Sajde me‐ naak par 

Qa’da me‐ God me Aur namaz me ye fail mustahab hai, Aur iske khilaf bhi kare to namaz ho jayegi

Sikander Warsi
Sikander Warsi

31 Aug 2023

Wuzu ke bad masjid me aakar pehle baithna fir namaz padhna kya durust hai
Answer

Aisa karna sunnat ke khilaf hai. Namazi ko chahiye ki wuzu ke bad sunnat padhe aur agar jamat he to jamat me shamil ho.