Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site
Wuzu me farz kitne hai, Aur kya inkar karne wala kafir?
Sikander Warsi
Sikander Warsi

10 Jul 2023

3 mins read

Wuzu me farz kitne hai, Aur kya inkar karne wala kafir?

بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ

Pura Sawal: Wuzu me Farz e Amali, Farz Etiqadi kitne hain or kiske inkar se banda kafir hoga ya nahi?

Wuzu me farz e etiqadi or farz e amali par kalam karne Se pehle me ye batana munasib smjhata hu ki akhir ye Hota kya hai, kyunki aksar logo ko wuzu me sirf 4 farz ke alawa kuchh nahi pata hota. (balki baz to imam or hafiz Bhi isse ghafil hote hain) Ummid hai ki ye behes sabke liye nafa bakhsh hogi. Pehle inki tareef fir inki tadad. إِنْ شَاءَ ٱللَّٰهُ

Farz e Etiqadi

Us farz ko kehte hain jiski farziyat aisi dalil se sabit ho jisme shak ki koi gunjaish hi nahi maslan quran se., aise ki quran me hukm aya. Or apne saro ka masah karo.

Farz e Amali

Iski farziyat nasse‐qatai se to sabit nahi, magar nazr e mujtahid me, Aisi zaruri hoti hai ki jisse ibadat mukammal nahi hoti.. Maslan chothhai sar ka masah karna..

Wuzu me 4 farz e etiqadi hain, or 12 farz e amli hain

Hukm e kufr

Farz e etiqadi ka inkar kufr hai, ki ye quran ki nas ka inkar hai Jaise koi kahe main sar ke maseh ko nahi manta.. To kafir hai, ki inkar e quran hai.. 

Farz e amali ka inkar kufr nahi albatta gumrahi hai. Jaise koi kahe me sar ke maseh ko to manta han magr Chothhai maseh ko nahi manta to gumrah hai, 

Note:‐ mujtahid par hukm e gumrahi bhi nahi hoga, kyunki unke Pas iske radd me dalil hoti hai, maslan agar imam shafai kahe ki Me chothhai sar ka masah nahi manta balki 3 baal par bhi kaafi Hai to ye gumrah bhi nahi. Ki khud bade aalim e deen (mujtahid) hai. (shariat se) Dalil rakhte hai,

Wese to sail ka Jawab yahi tak poora ho gaya. Ki etiqadi or amali Ki tadad puchhi thi, tafsir nahi., Magar kyuni ye bahut aham kalam hai to me munasib janta hu ki Iski tafsir bhi kar du ki, kya kya wuzu me farze etiqadi hai Or kya kya farz e amali hai, taaki ummat mere liye dua go rahe..or saail ka dil bhi qaraar paaye Or baad dafan me bhi nijaat..

Beshak iski tafseel bahut taveel hai, magar yaqeen jaane Yahan bas mukhtasar hi likhi jaati hai, ise mukammal Naa samjhe. yani har ek point ki Bahut tafseel hai. jo ki mere liye yaha likhna goya Gilas me Jag ka paani utar dena hai.. Isilye sirf tadad par bas kiya jaata hai..

Wuzu me 4 farz e etiqadi hain, (isme istasna ka zikar nahi hai)

  1. Munh (Face) dhona 
  2. Dono hath 
  3. Nakhun se kohniyo tak dhona 
  4. Sar ka masah paaun

Farz e Amali: Humare nazdeek wuzu me 12 hai

Note: Har mazhab or maslak me alag hote hai

  1. dono lab (hont) (agar lab khoob zor se band karke wuzu kya Or kulli naa ki to wuzu naa hoga)
  2. bhanwen 
  3. munchhe
  4. thodi ke upar or nichle hont ke bal 
  5. daari 
  6. kanpatiyan 
  7. dono kohniya.
  8. anguthi, or har qism ke jaiz, najaiz gehne (jabki tang ho)
  9. maseh ki nami, sar ki khal ya khas bal jo sar par hai 
  10. kam se kam chothhai sar ok istiab kar le
  11. takhno ke upri kinaro se nakhoon tak har hissa, balki zarra zarra
  12. munh, hath, paun, teeno uzw(part) ke tamam ke zarre zarre par paani bahana

Allah tala meri maghfirat kare. Or tehqeeq e jadeed me aql e saleem de

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Sikander Warsi

Sikander Warsi

Hazrat Maulana Sayyid Muhammad Sikander Warsi renowned as SMS Warsi is a Sunni Muslim Scholar who follows and propagates teaching of Sunni (Barelwi) order of Islam.

You may also read

Comments