Zaruri nahi ki Aalim hone ke liye deeni idare se sanad zaruri ho, Aalim hone ke liye ilm hona chahiye sanad nahi, or bahut sanad wale aise hain jinke pas sanad to hai magar Ilm nahi.
Ala Hazrat Imam Ahle Sunnat Imam Ahmad Raza Khan Bareilvi farmate hain:
Aalim ki tareef ye hai ki aqaid me poore tor se agah ho, aur apni zaruriyat ke masail ko kitab se nikal sakte bina kisi ki madad se ilm kitabo ke mutalle se or ulama se sun sun kar bhi hasil hota hai.
Ahkam E Shariat Hissa:2 Safa: 231
Isse maloom hua ki Aalim hone ke liye arabi farsi zubaan ka ana zaruri nahi, balki jo ba‐shara, kitabo ke mutalle se Ilm e deen sikha or ya kisi Aalim ke pas jaa kar sikha ho ya ulama se pooch pooch kar ilm hasil kiya ho to wo bhi Aalim hai, sanad zaruri nahi, Ala Hazrat imam e ahle sunnat ek aur mukam par is kitab Fatawa Razawiyya Jild: 23 Safa: 683 par farmate hain
Sanad koi cheez nahi, bahut sanad wale ilm se khaali hote hai, or jinhone sanad naa li, unki shagirdi ki liyaqat bhi un sanad walo me nahi hoti, ilm hona chahiye
Aur zahir hai ki koi apne zimme se farz utarne ke liye kisi Aalim ke pas jaa kar roza namaz ke khas masail sikh sakta hai warna koi kitab alim se puchh puchh kar padh kar bhi Ilm hasil kiya jaa sakta hai.,
KHABARDAR KHABAR KHABARDAR
Magar chand kitabo ke mutalle karne ke bad kisi ko ye jaiz nahi ki wo logo ke har masale ka jawab de, upar byan karta Aalim se murad hai ki wo kam se kam apni zarurat ke mutabik Ilm rakhta ho, taki apne farz ko anjam de sakte iska ye matlab nahi ki wo logo ko fatwa de.
Isi tarah dekha jaata hai ki log 2‐4 kitab padh kar road par logo ko masail batana shuru kar dete hai, or masail apne Aql se batate hain, is tarah kisi ko masaile batana jaiz nahi jab tak ki masale ki 100% sahi maloomat naa ho warna Aql se batana bhi gunah hai fir chahe masala sahi ho, yani yun samjhe kisi ne apni aql se kisi ayat ki tafsir ki ya hadees ka khulasa (sharah) ki or ye ittifaq se 100% sahi nikala to bhi isne haram kam kiya or ye gunahgar hai, kyunki har alim mufassir nahi, or agar kisi sunni tafsir ko byan kiya to thik.
Aur ye bhi yad rakhna chahiye ki har masjid ka imam Aalim nahi hota, or log bas libas or jhubba daari dekh kar Aalim sahib samajh lete hai, or samne wala bhi apni shan bachane ke liye jhutha masala byan kar deta hai, khud mera kai bar ka tajurba hai ki mene kai imamo se masle ghalat byan karte suna or to or kai bar muftio se bhi mene khud apne kaan se ghalat masale sune aur yad rakhna chahiye jaan kar mufti ghalat masala bataye to ye bhi haram hai magar wo apne Ilm ke mutabik sahi batata hai or wo ittifaq se ghalat ho gaya to uspar gunah nahi hai.
han, agar aalim se ittifaqan bhool waqey hui ho, aur usne apni taraf se be‐ehtiyati naa ki ho, aur ghalat jawab sadir hua to muakhza nahi, magar farz hai ki mutalla hote hi foran apni khata zahir kare.
Fatawa Razawiyya Jild:23 Safah:712
Isi tarah kabhi kabhi shan ki khatir shaitan ke jaal me fasa deta hai, or taqreero ka haal hi kya ki waha to hafiz utha or laga byan karne fir chahe wo alim ho ya naa ho,
Ala Hazrat Imam Ahle Sunnat farmate hai:
Jahil khud waaz (be‐dekhe byan) karne bethe to uska waaz kehna haram or uska waaz sunna bhi haram Aur musalmano par haq hai ki use mimber se niche utar den.
Fatawa Razawiyya Jild:23 Safah: 409
Khulasa e kalam ye hai ki Aalim hone ke liye sanad zaruri nahi Ilm hona chahiye magar masale ki yaqeeni maloomat hone ke bad hi byan karna chahiye Aql se nahi, apne dekha hoga ki apke kai suwal der se ate hai or kai jaldi uski yahi wajah hoti hai, jawab pata hota hai magar jab tak fir se naa dekh liya jaye ya dil me itminan naa ho me jawab post nahi karta.