Pura Sawal: Darhi ek musht rakhna wajib hai or mundana ya ek musht se kam karna najaiz. Lekin is najaiz ko kya ye kaha ja sakta hai ke ek musht se kam karna ya mundana “haraam” hai?
Daari ka ek musht tak rakhna wajib hai or ek musht se kam kar lene ko HARAM kehna bilkul sahih hai.
Aur kutub e fiqh e hanafiya me lafz haram hi maujood hai, Jaisa ki fuqah kiram farmate hai.
گزاشتن آن بقدر قبضہ واجب ست
Yani Daari ko ek musht tak chhor dena wajib hai.
(اللمعات اشعتہ)
Shah Abdul Haq Muhaddis e Dehelvi
Aur Bahar E Shariat me hai. Ek musht se kam karna HARAM hai.
Fatawa Razawiyya Jild: 22 Page: 571 par hai.
Daari had e shara se kam naa karna wajib aur Hozoor aur ambiya ki sunnat e daimi aur islam ke shiar se hai Aur iske khilaf mamnu aur HARAM aur kuffar ka shiar
Fatawa Amjadiya Jild: 1 Safah: 114 par hai.
Daari ek musht se kam karna HARAM hai.
Fatawa Faizur Rasool Jild: 1 Safah: 258 par hai
Daari mundwana HARAM hai.
Fatawa Faqih Millat Jild: 1 Safah: 127 par hai
Daari mundana ya ek musht se kam rakhna HARAM hai.
Fatawa Ajmaliya Jild: 1 Safah: 168 par hai.
Lekin kisi janib se ek musht se kam karna HARAM wa najaiz hai.
Is Suwal ke Jawab par poora risala tehreer kiya jaa sakta hai magar sail ko itna Kafi hona chahiye aur yahi chamakte suraj ki tarah roshan hai ki, Daari ka ek musht tak badana WAJIB aur isse kam karna HARAM aur ek musht se zyada ko kaatna SUNNAT hai. Aur agar HARAM kaam ko hi HARAM kehne se parhez kiya jayega to Kya mubah ko haram kaha jayega?