Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

1 min read

Shohar Biwi Ko Zewrat Ya paisa Deta hai - Kya us zewrat Aur Paise Par Qurbani Wajib Hogi?

بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ
Answer

Pura Sawal: Shohar Biwi Ko Zewrat Ya Pocket Money Deta Hai To Hamesha Ka Irada Nahi Karta Is Niyat Se Deta Hai Ki Zaroorat Padi To Zewrat Bech Kar Zaroorat Puri Kar Lunga, To Kya Un Zewrat Aur Paise Par Qurbani Wajib Hogi?

Answer: Biwi Ko Hamare Urf Me Jo Paisa Zewar Diya Jata Hai Wo Biwi Hi Ki Milkiyat Hota Hai, Agarche Saf Na Kaha Jata Ho, To Us Raqam Aur Zewar Par Biwi Ko Zakat Wajib Hai (Agar Aur Sharait Pai Jati Ho To). Albatta Agar Kisi Shohar Ne Koi Raqam Khas Kisi Kam Ya Kisi Aur Wajah Se Rakhne Ko Di Hai To Wo Biwi Ko Alag Se Wazeh Kare. 

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب