Sikander Warsi
Sikander Warsi

03 Sep 2023

1 min read

Hamare pyare nabi Muhammad ﷺ ki janaze ki namaz kisne padayi

بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ
Answer

Pyare nabi Muhammad ﷺ ki janaza ki namaz ke liye log giroh dar giroh aate or namaz ada karte magar koi imam naa tha.

Jaise ki Shaikh Abdul Haq Muhaddis e Dehelvi (madarijun‐nabiwat) me tehreer farmate hai Janaza tayyiar hua to log namaz e janaza ke liye tut padhe, Pehle mardo ne fir aurton ne fir bachcho ne namaz e janaza padhi, Janaza e mubarka hujra e aqdas ke andar hi tha. Bari bari se thode thode log andar jaate the aur namaz padh kar chale aate they lekin koi imam naa tha.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب