07 Jan 2024
Masjid Me Qaza Namaz Na Padhi Jaye To Behtar Hai Is Dauran Zikr Durood Padh Sakte Hain.
07 Jan 2024
Har Qaza Namaz Jald Se Jald Ada Karna Chahiye Siwaye Makruh Auqat Ke Chahe Fajr Ho Ya Zohar.
07 Jan 2024
Maghrib Bad Qaza Namaz Padh Sakte Hain Poori Raat, Behtar Hai Tanha Padhe Masjid Me Na Padhe.
07 Jan 2024
Ji Haan, Aur Qaza Hi Padhni Chahiye Taki Jald Az Jald Ada Ho Sake.
07 Jan 2024
Nahi Tanha Shakhs Ko Namaz Padhne Ke Liye Takbir Kehna Zaroori Nahi Hai.
07 Jan 2024
Nahi, Agar Koi Shakhs Islam Lata Hai To Use Apne Pichle Zamane Ki Namaze Qaza Karne Ki Zaroorat Nahi Hai, Albatta Agar Koi Musalman Kufr Ya Shirk Karne Ke Bad Fir Se Tauba Tajdid e Iman Kare to Usko pichli Qaza Namaze Poori Karni Hi Hongi.
07 Jan 2024
07 Jan 2024
Ji Haan Qaza Namazo Me Ek Hi Surat Ki Bar Bar Taqrar Kar Sakte Hain Albatta Behtar Ye Hai Ki, Ek Surat Chand Rakat Me Padh Kar, Fir Doosri Surat Chand Rakato Me Padhi Jaye Fir Nai Surat, Fir Wahi Purani Wali Dohra Di Jaye.
07 Jan 2024
Tahajjud Ke Liye Isha Ke Farz Ke Baad Sona Zaroori Hai Ab Agar So Kar Uthne Ka Time Nahi Ya Fajr Jane Ka Khof Hai To Wo Nawafil Padh Sakta Hai Tahajjud Bhi Nafil Hai.
07 Jan 2024
Agar Fajr Faut Hone Ka Dar Na Ho To So Sakte Hain Sone Me Harj Nahi Agar Fajr Me Kafi Waqt Hai, Aur Agar Fajr Me Waqt Kam Hai Aur Qaza Hone Ka Guman Ho To Sona Jaiz Nahi.
07 Jan 2024
Nafil Namaz Isliye Padhna Ki Logo Ki Raghbat Ho To Padhna Jaiz Hai.
07 Jan 2024
Rasool e Azam ﷺ Par Tahajjud Farz Thi Aur Azan Farz Namaz Ke Liye Hoti Hai Magar Aaj Ke Musalman Par Tahajjud Farz Nahi Hai Lihaza Na Azan Ki Zaroorat Na Hi Jamat Ki Albatta Log Jama Ho Kar Jamat Karna Chahe To Kar Sakte Hain.