Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Namaz

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Agar Suraj Grahan, Asar Ke Baad Ya Makruh Auqat Me Ho, To Namaz Padh Sakte?
Answer

Agar Suraj Grahan Asar Ke Baad Ya Makruh Waqt Me Ho To Log Dua Karenge Namaz Nahi Padhenge Isi Tarah Fatawa Razaviya Me Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Kya Nafil Namaz Me Do Niyate Kar Sakte Hai? Jaise Isha Ki 2 Nafil Aur Salat Ut Tauba Ki 2 Nafil?
Answer

Ek Niyat Se Ek Hi Namaz Padhe Namaz e Tauba Alag Se Padh Li Jaye 

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Namaz Me 1 Surat 2 Baar Padh Li To Namaz Hogi?
Answer

Namaz Ho Jayegi Farz Me Aisa Jankar Karna Makruh Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Nafil Namazo Ka Kya Hukm Hai Kya Ise Rozana Baar Baar Tark Karna Sahi Hai?
Answer

Nafil Ke Tark Par Gunah Nahi Hai, Agar Koi Apni Qaza Padhta Hai To Nafil Tark Kar Sakta Hai Agar Qaza Nahi Padhta Aur Waqt Bhi Hai To Nafil Padhna Chahiye Ki Isme Sawab Hai Aur Akhirat Me Farz Ki Kotahi Ko Poora Karne Me Madadgar Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Kya Fajar Ki Azan Ke Bad Nafil Namaz Padhi Ja Sakti Hai?
Answer

Waqt Fajar Nafil Nahi Padhi Ja Sakti Albatta Qaza Padh Sakte Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Kya Nafil Namaz Me Waqt Ka Naam Lena Chahiye?
Answer

Nafil Ya Kisi Bhi Namaz Me Waqt Ka Naam Lena Zaroori Nahi, Lihaza Dil Me Ye Irada Ki Is Waqt Nafil Padh Raha Hun Kafi Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

07 Jan 2024

Tahajjud Ki Namaz Sunnat Hai Ya Nafil?
Answer

Ap Is Behes Me Na Pade Ki Kya Hai Padhne Par Zor Diya Jaye, Niyat Me Sirf Tahajjud Naam Lena Kafi Hai. Albatta Baz Sunnat Nafil Ke Hi Hukm Me Hoti Hai Isilye Baz Use Sunnat Bol Dete Hain, Baz Nafil.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Nafil Namaz Beth Kar Padhne Se Behtar Hai Ya Khade Ho Kar
Answer

Nafil namaz bina majburi bhi beth kar padhna jaiz toh hai magar beth kar padhne se, khade ho kar padhne ki nisbat adha sawab milega. Jaisa ki hadis me farmaya: 

HADIS: beth kar padhne wale ki Namaz Khade ho kar padhne wale ki aadhi hai, (Muslim Shareef) 

Haan, agar kisi majburi me beth kar padega To sawab me kami naa ayegi, aur ye jo aajkal nafil bethkar padhne ka riwaz bana rakha hai or samajhte hai ki nafil beth kar hi padhne chahiye ye ghalat hai, khade ho kar Hi padhna afzal hai.