Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Namaz

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

T-Shirt Pe Aadhe Sher Ki Tasveer Chapi Thi Namaz Padhne Ke Baad Dekhi To Kya Hukm Hai?
Answer

Agar Chehra Tha Sher Ka To Namaz Makruh e Tehreemi Hui Aur Agar Chehra Nahi Tha Baki Adha Sher Tha To Namaz Ho Gayi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Kya Isha Ki Farz Namaz Ke Baad 2 Sunnat Ki Jagah Qaza e Umri Padh Kar Witr Ki Namaz Padh Sakte Hai?
Answer

Namaz e Isha Me 4 Farz, 2 Sunnat, 3 Witr Padna Zaroori Hai, Inme Kami Karke Qaza e Umri Nahi Padh Sakte.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Witr Me Dua e Qunoot Yaad Nahi To Kya Padhe?
Answer

Dua e Qunoot Yaad Na Ho To Koi Doosri Dua Padh Sakte Hain. ya fir ye dua bhi padh sakte hai.

Rabbana atina fid dunya hasanatan wa fil Aakhirati hasanatan waqina ‘adhaban-nar.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Lungi Me Namaz Ho Jayegi?
Answer

Haan Ho Jayegi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Headphone Ya Bluetooth Gale Me Latka Kar Namaz Ho Jayegi?
Answer

Headphone Ya Bluethooth Gale Me Latka Kar Namaz Padhne Se, Namaz Ho Jayegi, Jabki Isse Namaz Me Dhyan Na Hate.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Agar Namaz Me 2 Wajib Chut Jaye To Ek Sajda Sahw Se Wajib Ada Ho Jayega?
Answer

Haan 10 Wajib Bhi Tark Ho Jaye To Bhi Ek Hi Sajda Sahw Kafi Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Kya Kitchen Me Namaz Padh Sakte Hain?
Answer

Ji Haan Padh Sakte Hain, Gas Namazi Ke Samne Na Ho Bas.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Khane Ke Baad Baghair Kulli Kiye Jhute Munh Namaz Padhna Kaisa?
Answer

Khane Ke Baad Hath Dhona Kulli Karna Sunnat Hai Lihaza Munh Me Masalo Ya Mirch Ki Mehek Ho To Namaz Padhna Gunah Hai Kuch Der Baad Padh Sakte Hain Jabki Mehek Jaa Chuki Ho.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Asar ka namaz college student kaise padhe jab lecture ka waqt ho?
Answer

Pura Sawal: Asar Ki Namaz Ka Waqt 5:06 Pe Start Hota Hai Aur 6:52 Ko Khatam Hota Hai Mai College Student Hoon Mere Lecture Me Asar Ka Time Nikal Jata Hai To Kya Me Asar Ka Time Shuru Hone Se Pehle Asar Ki Namaz Padh Sakta Hoon?

Answer: Jab Asar 5 Baj Kar 6 Minute Par Lag Jata Hai To Ap Foran Hi Namaz Padh Sakte Hain Aur Waqt Se Pehle Namaz Padhne Se Namaz Ada Nahi Hogi Chahe College Ki Padhai Ho Ya Madrase Ki Padhai

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Jan 2024

Agar Koi Shaks Namaz Akele Padh Rahe Ho Aur Koi Mobile Ya Paise Le Kar Bhagne Ki Koshis Kare?
Answer

Is Surat Me Namaz Tod Sakte Hain

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

VIDEO ANSWER CLICK HERE