Sikander Warsi
08 Sep 2023
1 min read
Eid ki namaz Aurat kitni rakat padti hai Aur niyat kaise ki jati hai
بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ
Answer
Eid ki namaz padhne ke liye wahi sharte hai jo juma ke liye hai.
Aur Aurat Eid ki namaz nahi padti. Aurat par Eid or jumah ki namaz padhna wajib nahi. Aurat ko kisi jamat ki hazri jaiz nahi Jumah ho ya Eid
Jaisa ki Fatawa Faizur rasool Jild: 1, Safah:425 par hai “Aurat ko Eidgah ki hazri jaiz nahi.”
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب