Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Namaz

Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 Jan 2024

Agar Namaz Ghalat Tariqe Se Padh Rahe Hain Aur Bad Me Pata Chala To Kya Kare?
Answer

Namaz Ki Har Ghalti Ek Jaisi Nahi Hoti, Kuch Me Namaz Ho Jati Hai, Kuch Me Dohrani Hoti Hai Aur Kuch Me Namaz Shuru Hi Nahi Hoti, So Pehle Batana Hoga Kis Tarah Ki Ghaltiya Hai Namaz Me, Behtar Hai Ki Namaz Sikhna Chahiye Koi Online Course Shuru Kar Lo Namaz Ka.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 Jan 2024

Kya Pasine Ke Kapdon Me Namaz Ho Jayegi?
Answer

Ji Haan Pasine Ke Kapde Me Namaz Ho Jayegi Magar Is Baat Ka Khayal Rakhe Ki Pasine Me Zyada Badbu Na Ho Kyunki Badbu Ke Sath Masjid Me Jana Jaiz Nahi, Lihaza Pasina Sukha Lena Chahiye Ya Itar Ka Istemal Karna Chahiye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 Jan 2024

Maghrib Ki Namaz me Tisri Rakat Me Surah Fatiha Ke Baad Surat Mila Sakte Hain?
Answer

Haan, Magrib Ki Sari Rakat Me Surah Fatiha Ke Bad Surat Mila Sakte Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 Jan 2024

Farz Namaz Ke Baad Jo Ayatul Kursi Padhi Jati Hai woh Qaza namaz me bhi padhna hai?
Answer

Iska Padhna To Farz Namaz Ke Bad Bhi Zaroori Nahi Hai To Qaza Ke Baad Kaise Zaroori Ho Sakta Hai Lihaza Agar Qaza Namaz Zyada Hai To Pehle Unhe Ada Kara Jaye Har Salam Par Ayatal Kursi Na Padhe Balki Jab Us Din Ki Sari Padh Le To Last Me Ek Baar Padh Lijiye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 Jan 2024

Koi Shakhs Phone Me Jandar Cheez Dekh Raha Hai To Wahan Namaz Hogi?
Answer

Namaz Ho Jayegi, Behtar Hai Namazi Ke Samne Se Hat Kar Istemal Kare.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 Jan 2024

Kya Pent Shirt Ke Upar Jubba Pehen Kar Namaz Aur Imamat Ho Jayegi?
Answer

Pent Shirt Pehen Kar Namaz Aur Imamat Dono Ho Sakti Hai Aur Us Par Kurta Ya Jubba Pehen Lena Aur Zyada Behtar Hai, Lihaza Namaz Ho Jayegi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 Jan 2024

Police wardi Mein Namaz Padhna Kaisa Hai?
Answer

Agar Wardi Par Koi Jaandar Ki Tasweer Na Ho To Police Wardi Me Namaz Ho Jayegi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 Jan 2024

Job Par Namaz Na Padhne Di Jaye toh job ke baad padh sakte hai?
Answer

Namaz Apne Waqt Par Padhna Farz Hai, Aur Isi Tarah Halal Kamana Bhi Farz Hai Lihaza Iska Matlab Ye Nahi Ki Job Ki Talash Ki Jaye, Jahan Namaz Ki Ijazat Mile Wahan Par Kam Kiya Jaye, Warna Filhal Kuch Waqt Apna Kaam Kar Liya Jaye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 Jan 2024

Namaz Me Aur Namaz Ke Bahar Takhno Se Niche Payche Karna Kaisa?
Answer

Takhno Se Niche Payche Karna Takabbur Ke Sath Haram Hai Aur Agar Takabbur Na Ho To Makruh e Tanzihi Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 Jan 2024

Sajda Karte aqt Hath Aur Chehra Kaise Rakhna Chahiye?
Answer

Hath Kan Ki Lou Ki Seedh Me Rakhe Aur Chehra Dono Hatho Ke Darmiyan.