Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Learn InShort

Sikander Warsi
Sikander Warsi

25 Apr 2024

Namaz ke faraiz aur sharait me kya fark hai?
Answer

Agar namaz me sharait naa paye gaye to namaz sire se shuru hi nahi hogi, aur sharait poori karne par namaz shuru ho jayegi aur ab jaha farz chhoota waha jaa kar namaz tut jayegi.

Kisi napak shakhs ne bagair ghusl namaz shuru kar di to namaz shuru hi nahi hogi, kyunki taharat sharait me se hai, aur agar sharte poori karke namaz shuru ki to namaz shuru ho gai ab jab beech me bewuzu hoga to us rakat se namaz tut jayegi.

Sharait e salat 6 hain, 1‐Taharat, 2‐sitre aurat, 3‐istiqbal e qibla, 4‐Waqt, 5‐Niyat, 6‐Takbir e tehrima.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

24 Apr 2024

Nazar lagne ke bare me hadis or Quran me kya hai aur nazar lagne par koi dua ya illaj bataye?
Answer

Nazar ka lagna HAQ hai hadis se sabit hai.

Nazar ke lagne par Surah Al-Qalam ki ayat 51 padh kar dam kiya jaye.

وَاِنۡ يَّكَادُ الَّذِيۡنَ كَفَرُوۡا لَيُزۡلِقُوۡنَكَ بِاَبۡصَارِهِمۡ لَمَّا سَمِعُوا الذِّكۡرَ وَيَقُوۡلُوۡنَ اِنَّهٗ لَمَجۡنُوۡنٌ​ۘ‏

Nurool irfan Safah: 971 par hai 
Yeh ayat nazr e bad se bachne ke liye ikseer hai

Khazain al irfan Safah: 1019 par hai 
Hazrat e Hasan basri (radiallah anhu) ne farmaya: Jis ko nazar lage usko ye ayat padh kar dam kar dee jaye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Apr 2024

Kya Mitti ya chini ka tuta bartan istilmal karna durweshi lata hai?
Answer

Tute bartan khas kar khane peene ke ho to use khane peene me istimal karna ulama ne makruh likha hai ki chini ya mitti ke bartan me agar darar aa jaye ya tute ho to us darar me kitano paida ho jaate hai, or khane peene se munh ke zariye jism me chale jate hai isliye aise bartan se bachna chahiye warna us jagah se to zarur jaha se tuta ho. 

Isi tarah tambe ke bartan ko bina kalai kiye huye istimal karna bhi muzir e sihat hai (sihat ke liye nuksan).

Sikander Warsi
Sikander Warsi

22 Apr 2024

Durweshi ka mana kya hai?
Answer

Durweshi, lafz durwesh se bana hai durwaish bamana‐ faqeer, 

Durweshi hua faqeeri/gharibi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Apr 2024

Kya sukha kutta paak hota hai?
Answer

Ji haan! kutte ka badan napak nahi karta, jab tak uske jism par koi naapaki naa ho agar koi napaki ho or wo napaki kapde par lage to bhi sirf kapda napak hota wo shaksh nahi, jaise kutte par nali ka pani laga hai or wo chhu gaya to utna kapda saaf kiya jaye, badalne ki bhi zarurat nahi. Or kutte ka luab (thook) napak hai. Magar in sab surato me kisi shaks ko nahane ki zarurat nahi, jaha napaki lage bas wo hissa dho le chahe kapda ho ya jism.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

20 Apr 2024

Bade buzurg kehte hain ki aankhon ka farkna achchha nahi hota kya ye sahi hai
Answer

Ulti aankh ke fadakne ko bad‐shuguni manna sahi nahi hai, bahut hadis me iski mazammat ki gai, jiska khulasa hai ki.

Badshuguni lena, mushrikeen ka tariqa hai Badshuguni lena haram hai achcha fal lena mustahab, Badshuguni lena buto(but parasto) ka tariqa hai Badshuguni ko shirk (khafi) bhi kaha gaya.

Jo badshuguni ki wajah se kisi chiz se ruk jaye wo shirk me aaluda ho gaya.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

19 Apr 2024

Kya Sohar ka naam Biwi le sakti hai ya Biwi ka naam Sohar le sakte hain?
Answer

Bivi ko Sohar kaa naam le kar pukarna makruh hai. Aur hamare nazdeek haya ka takaza yahi hai ki Sohar bhi biwi kaa naam naa le. Hadis e pak me hai ki HAYA IMAN SE HAI.

Aur naam le bhi le to gunah nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

18 Apr 2024

Khatna kaun se mahine main nahi karwa sakte hain?
Answer

Waise toh koi mahina manhoos nahi, jis mahine bachcha paida ho uske 7ve din karwani chahiye Isme mahine ki qaid nahi, fir chahe jis mahine paida ho, bas bachche ki sehat aur mausam dekha jaye, sakht garmi wagera ke lihaz se.

Hadis Kanzul Ummal me hai:
Hazrat ali (radiallah anhu) se riwayat hai ki apne bachche ki 7ve din khatna karo ki ye gosht ugne ke liye jaldi aur suthra hai aur dil ke liye rahat hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

17 Apr 2024

Ladkiyan ka chudidaar pehenna - jaiz hai ya nai?
Answer

Is qadr chust aur tang kapda pehnna najaiz or gunah hai jisse jism ki banawat nazar aye, isi tarah aisa jisse jism ki rangat nazar aye haram hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024