Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Learn InShort

Sikander Warsi
Sikander Warsi

21 Sep 2023

Hazrat Imam Hasan ki namaz e janaza kisne padhai hai?
Answer

Imam Hasan رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ‎ ki namaz e janaza unke bhai Imam Hussain رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ‎ ne padhai (radi allah anh)

Sikander Warsi
Sikander Warsi

20 Sep 2023

Fazr ki namaz padne ke baad kya so sakte hai?
Answer

Ji, namaz e fajr ke bad sone me sharann to koi harj nahi so sakte hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

19 Sep 2023

Nind ke ghalbe me namaz padhna kaisa hai?
Answer

Namaz nahi hogi, Balki agar ek ruku bhi sota raha to wo bhi ada naa hoga.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

18 Sep 2023

Ek mukammal Quran sharif saal bhar me na hua to kiya gunaah hoga?
Answer

Gunah nahi, Magar mehrumi az rehmate ilahia zarur hai, Or itna quran yaad karna zarur lazim hai jisse Farz ibadat mukammal ho sake.

Jaisa ki Bahar E Shariat Jild: : 1 Safah: 545 par hai.

Ek ayat ka hifz karna har musalman mukallaf Par farz e ain hai. (Or aage hai,) Surah fatiha aur ek doosri choti surat ya iski misl Maslan 3 choti ayaten ya ek badi ayat ka hifz, wajib e ain hai

Sikander Warsi
Sikander Warsi

17 Sep 2023

Gaus e azam bade he ya madar sahab
Answer

Awam ko is umoor par behes karna sakht mana hai Khuda naa kare kisi taraf gustakhi ho jaye to Barbadi balki iski shamat se zawal e iman ka andesha hai.

Shah madar zarur akabir e auliya se hai, Magar is me shak nahi ki Huzoor gaus e azam ka martaba Bahut aala hai wa afzal hai. Gaus apne daur me tamam auliya e alam ka sardar hota hai.

Huzoor sayyidina Gaus ul azam Walion ke sardar hai, Hazrat shah badiuddin madar sahab ko Unse afzal kehna jahalat, iftira wa bohtan hai.

Fatawa Razawiyya Jild: 26 Page: 559 & Fatawa Razawiyya Jild: 26 Page:566

Sikander Warsi
Sikander Warsi

16 Sep 2023

Birthday manana chahiye ya nahi?
Answer

Isme sharann koi harz nahi. Birthday par aitraz islye kiya jaata hai ki ye Gair kom ka tariqa hai magar aisa nahi hai ki Har wo kaam jo gair kom kare islam me najaiz nahi aurr saalgirah naa to gair kom ka mazhabi shiar hai Naa kisi kaum ki khas alamat.

Agar Birthday se muraad ye he ki kisi ki paidaish ke din khush hona Allah ka shukr ada karna aur is wajah se musalmano ko khana khilana ya chahe cake khilana ya jiska janamdin manaya jaa raha hai uski paidaish ki khushi mein us din quran khwani, meelad wagera karna, to isme kuchh gunah nahi, 

Jabki isme koi kaam khilaf e shara naa ho Maslann, naach, gana mard aurat ka meljol Taali bajana wagera aur musalmano ko khilana pilana jaiz or shariat ko hamesha se mehboob hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

15 Sep 2023

Allah se ye dua maangna ki hamesha khush rahu aur koi gham o pareshani na aaye kaisa
Answer

Dua me had se nahi badna chahiye yani Jo chize muhaal (Na‐mumkin) ho ya Kareeb ba‐muhal hai dua me nahi Mangni chahiye.

Durre mukhtar Jild: 2 Safah: 287 par hai Hamesha ke liye tandrusti ya affiyat mangna Ki aadmi ka umar bhar kabhi kisi tarah ki Taklif me naa padhna muhal e aadi hai.

Admin
Admin

14 Sep 2023

4 rakat namaz ki Niyat bandhi 2 rakat pe salam fer liya ab kya kare?
Answer

4 rakat ki niyyat bandhi aur 2 par salam pher diya to jab tak koi munafi e namaz kaam na paya jaye jese kalam karna salam karna kisi ko waghairah ye usi par bina kare yani 2 yaad aate hi 2 rakat or padh le aur sajda e sahw karle. 

Ye surat farzo ki hai agar nafil me aisa hua hai to 2 rakat padne ki hajat nahi nafil ka har qada, Qada e akhirah hota hai.

(Jawab by :Hazrat e allamah Abu riyan Mufti Muhammad Shaneilahi Al‐Madani)

Sikander Warsi
Sikander Warsi

14 Sep 2023

Islaam Se Kachua (Turtle) Khane Ki Ijazat Hai?
Answer

Hanafi mazhab me, siwaye machhli (fish) ke koi dariyai Janwar halal nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

13 Sep 2023

Kidney me pathri hone ki wajah se namaz nai padhi 5 saal se, Namaz ka kya hukum hai?
Answer

Pura Sawal: mere dost ke dono kidney me pathri hai iski wajah se wo 5 saal se roza nahi rakh paya hai Kiyun ki khali pet rahne se uske pet me dard hota hai To wo is surat me kya kare qaza karke bhi nahi rakh sakta Kiyun ki pathri nahi nikal rahi hai Aur wo uski dawai 5 saal se kha raha hai lekin koi fayeda nahi hai usne kuchh miyan aur maulana logon se puncha to unhone kala jadu bataya hai Hazrat iska bhi koi ilaaz bataye.

Jo shaks kisi beemari ki wajah se roza nahi rakh paa raha To thik hone ke baad qaza karni hogi, Chahe 10 sal bad thik ho, warna sardi ke chhote din hote hai Jab koi surat nikale, beharhal fidiye ka hukm nahi hoga. Ilaj ke liye apne ilaqe ke tawizat e attaria ke Baste se rabita kare, Shifayab ho jayega.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

12 Sep 2023

Bagal ke baal badh jaye toh namaz hogi?
Answer

Namaz ho jayegi, Magar har hafte saf karna mustahab hai, 40 din me ke bad wajib, warna gunahgar hoga.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

11 Sep 2023

Shawwal ke roje 6 shawwal ke kisi bhi date me rakh sakte hein ya koi date mukarar hai?
Answer

Hadis me jo shawwal ke rozo ki fazilat hai, Usme tarikh ki koi qaid meri nazar se nahi guzri.

Yani is maah me jab bhi chahe 6 roze rakhe Insha Allah wahi fazilat paa jayega jo farmane mustafa hai.