Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Learn InShort

Sikander Warsi
Sikander Warsi

30 Sep 2023

Arabic ko hindi, English ya kisi aur zabaan me likhna kaisa
Answer

Quran ki ayato ko Hindi rasmul khat ya Kisi bhi gair arabic me likhna najaiz o gunah hai. Hadees aur durood wagera ko likhna gair arabic me Gunah nahi MAGAR ise bhi likhna nahi chahiye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

28 Sep 2023

Kutte ko danda ya kisi cheez se izaa dena kaisa
Answer

Bina wajeh kisi bhi bezuban ko izaa nahi deni chahiye, siwa unke jiko marne ka hukm hadis me aya hai, maslan chhipkali, wagera, 

Bezuban balki kutte par bhi rehm karne ke sabab Allah ne magfirat ki hai ye mazameen bhi hadis me mojood hai, jisse sail andaza laga sakta hai ki marna chahiye ya nahi, aur agar kutta pagal ho ki logo ko taqleef ka sabab banega to kutte ko mar dena bhi shariat se sabit hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

28 Sep 2023

Kya fate pajame par namaz nahi hoti hai
Answer

Agar kapda aisi jagah se fata hua hai ki jo hissa namaz Me chupana zaruri tha to aisi surat me namaz nahi hogi.

Yani sitr ke khula rehne ki surat me, kyunki namaz me sitr ka chipana namaz ki sharto me shamil hai. Aur shart poori naa karne ki surat me namaz shuru hi nahi hogi,

Sikander Warsi
Sikander Warsi

27 Sep 2023

Jo faqeer Ricksaw pe salam record hua hota uska jawab dena wajib hai kya?
Answer

Agar mange wala bina mic ke bhi aye or salam kare To uska Jawab bhi dena wajib nahi, Yani bheekari Mic pe salam sunaye ya fir khud samne aa kar salam Kare dono surato me Jawab wajib nahi, yani Jawab naa diya To gunah nahi, Jaise ki.

Bahar e Shariat Jild: 3 Safah: 461 par hai Saail ne darwaze par aa kar salam kiya, uska Jawab Dena wajib nahi. (magr is surat me Jawab de dena behtar hai)

Sikander Warsi
Sikander Warsi

26 Sep 2023

Humare pyare nabi Muhammad ﷺ ki biwiya kitni thi?
Answer

Pyara Aaqa Muhammad ﷺ ki azwaj ki tadad ko lekar ulama me ikhtilaf hai Magar 11 azwaj ko lekar kisi ka ikhtilaf nahi, 

In 11 ummat ki maao (mothers) me se 6 khandan e quraish Ke unche gharano se thi, Or 4 khandan e quraish se nahi balki arab se doosre qabile se thi Or ek (Safiya) ye khandan e bani israil ki ek Shareefunnasab raees‐zadi thi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

25 Sep 2023

Muslim Se Muslim Ke Dilon Mein Rishta Banana chahey to kya shariat ijazat degi
Answer

Musalman apas me bhai bhai hain, aur hadis me bhi yahi targib dilaai gai ki Apas me bhai bhai ho jao, Ab iske baad alag se or dil se koi rishta rakhna chahe to achha hai.

Magar ‐ Ye rishta mard aurat ke bich nahi hona chahiye, Is tarah ke rishte ko bhi sharait ne roka hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

24 Sep 2023

4 rakat Namaz me dusri rakat me Atayyahat padna bhool gaye aur khada ho gaye
Answer

Teesri rakat me agar bhool se seedha khada ho jao to bethna nahi chahiye balki namaz ke akhir me sajda sahav kara jayega.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Sep 2023

Teeje ke chane kya sirf gareeb bachcho ko baantna chahiye
Answer

Ye chane faqeer hi khaye , ghani ko khana nahi chahiye bachcha ho ya bada, ghani bachcho ko unke waliden mana kare, 

Fatawa Razawiyya Jild: 09, Safah: 617

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Sep 2023

Jo shaks sharab pita ho kya wo napaak ho jata hai ?
Answer

Sharab peene se napak nahi hota, yani Ghusl farz nahi hota albatta wuzu jaata rahega Jaisa ki.

Bahar e shariat Jild: 1 Safah: 308 par hai Itna nasha ki chalne me paun larkharaye wuzu tor dega.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

22 Sep 2023

Kapde pe chipkily (lizard) gir jaye toh kya uspe namaz padh sakte hai?
Answer

Kapde pe chipkily (Lizard) gir jaye to kya bina kapde badle bina use dhule usme namaz pad sakte hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

22 Sep 2023

Agar mori palti ho to namaz ho jayegi kya?
Answer

Namaz me payncho ka morna makruh tehrimi hai. Chahe halat e namaz me modey jaye ya namaz Shuru karne se pehle. Aur is tarah padhi gai namaz fir se padhna wajib hai. Agar kisi ki mori ulti dekhe or fasad ka andesha naa ho to pyar se samjha sakte hai.