Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Zikr / Durood / Dua / Wazaif / Isal e Sawab

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Niyaz Ka Khana Zyada Bana Aur Agle Din Kisi Wajah Se Kharab Ho Jaye To Kya Gharwale Gunahgar Honge?
Answer

Agar Waqai Insan Ki Laparwahi Se Kharab Hua To Gunahgar Hain Aur Usne Hifazat Ki Thi Fir Bhi Kharab Ho Gaya To Gunah Nahi, Magar Khana Zyada Ho To Baat Dena Chahiye Padosio Ko, Faqiro Ko, Rakhna Nahi Chahiye Agar Kharab Ka Andesha Ho.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Kya Isal e Sawab Zinda Ko Kar Sakte Hain?
Answer

Ji Han, Isal e Sawab Zinda Ko Bhi Kiya Ja Sakta Hai Aur Karna Bhi Chahiye.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Tosha Sharif Ki Shirini Aurat Ko Khilana Kaisa?
Answer

Har Tarah Ki Niyaz Fatiha Ka Khana Aurat Kha Sakti Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Eid Miladun Nabi ﷺ Par Charaghan Karna Kaisa?
Answer

Roshni Light Ki Ho To Behtar Hai, Karna Chahiye, Ahle Hunood Se Mushabehat Karte Huye Diye, Chirag Jalana Mana Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

1 Quran e Paak 2 Ya 2 Se Zyada Logon Ko Bakhsha Ja Sakta Hai?
Answer

Ji Han Ek Quran Ya Koi Bhi Nek Amal Ek Se Zyada Marhoom Ya Zinda Musalmano Ko Bakhsha Ja Sakta Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Pair Fold Karne Pe Dard Ho, To Pair Seedha Karke Zikr Ya Durood Padh Sakte Hain dil me?
Answer

Ji Haan, Pair Fold Karke Durood Zikr Jaiz Hai Aur Dard Ki Wajah Se Aisa Karne Me Harj Nahi, Baki Bewajah Aisa Na Kare. ba-Adab Baith Kar Hi Padhe, Qibla Rukh Ho Kar.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Kya Asar Aur Maghrib Ke Darmiyan Hum Quran Ki Tilawat Aur Zikrullah Kar Sakte Hain?
Answer

Ji Han Kar Sakte Hain Magar Zikrullah Karna Hi Behtar Hai Kyun Ki Is Waqt Firishto Ki Duty Tabdeel Hoti Hai Lihaza Bande Ki Achchi Baten Hi Likhi Jaye To Achcha Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Kya Kafir Allah Se Dua Karta Hai Toh Uski Dua Qubool Hoti Hai?
Answer

Ji Haan Unki Dua Poori Kar Di Jati Hai Aur Wajah Ye Batai Gai Ki: 

Aur Jab Kafir Aur Fasiq Dua Karte Hain To Farmata Hai Allah (Jibrail Se) Inka Kaam Jaldi Karo Mujhe Iski Awaz Pasand Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Namaz Ke Baad Padhne Wale Wazaif Kab Padhe - Farz Ya Nafil Namaz Me Baad?
Answer

Agar Wazifa Zyada Bada Na Ho Aur Farz Namaz Ke Baad Padhne Ka Ho To Padh Sakte Hain Agar Zyada Bada Wazifa Hai To Behtar Hai Ki Sunnate Padhi Jaye Fir Wazifa.