Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Zakat / Sadaqah

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Mere Bade Abba Sayyed Hain Lekin Unka Kaam Kuch Hai Nahi To Kya Unko Zakat De Sakte Hain?
Answer

Nahi De Sakte, Zakat Ke Alawa Maal De Sakte Hain, Fir Us Maal Ko Zakat Se Kam Kar Sakte Hain, Matlab Jo Maal De Diya Us Par Zakat Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kya Sadqe Ke Paise Ghar Me Nahi Rakhna Chahiye Fauran De Dena Chahiye?
Answer

Agar Sadqe Ki Niyat Se Kuch Raqam Alag Kar Di Gai Hai Taki Jama Karke Ek Sath De Di Jayegi To Bhi Harj Nahi Ya Fir Abhi Bahar Jana Nahi Hai Ya Zarooratmand Nahi Dikh Raha Jab Dikhega To De Denge, Is Tarah Raqam Ko Alag Rakhne Me Harj Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Mere Account Me 50,000 Se Zyada Paise Hain Aur Main Sahib e Nisab Ho Gaya To Kya Usi Account Se Zakat Deni Hogi?
Answer

Sirf Acount Me 50 Hazar Hone Se Sahib e Nisab Nahi Hote, Balki Us Paiso Par 1 Sal Bhi Guzar Gaya Ho To Zakat Wajib Hogi Aur Zakat Dene Ke Liye Zaroori Nahi Ki Usi Account Se Paise Nikale Jaye, Jitni Zakat Banti Hai Wo Ada Ki Jaye Chahe Paise Aap Kisi Bhi Account Se Lo Ya Kisi Aur Se Lo Usse Koi Masala Nahi Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Sona Girwi Rakhkar Uske Badle Cash Liya Hai To Zakat Nikalte Waqt Usme Wo Cash Add Hoga?
Answer

Girwi Rakhe Maal Par Zakat Nahi Hoti, Na Us Par Jiska Maal Hai Na Us Par Jiske Paas Rakha Gaya, Aur Na Hi Maal Wapas Aane Par Girwi Rakhe Tamam Saal Ki Zakat Hogi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kya Biwi Ki Zakat Me Shohar Ke Liye Huye Qarze Minus Honge?
Answer

Nahi, Biwi Ko Apni Zakat Poori Deni Hogi Shohar Ke Qarze Usme Add Nahi Kiye Jayenge.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Sayyed Ghareeb Ho Aur Unki Biwi Ghair e Sayeda Ho To Unki Biwi Ko Zakat De Sakte Hain?
Answer

Ji Haan, Aurat Jo Ki Syeda Nahi Hai Use Zakat Di Ja Sakti Hai, Jabki Aurat Sahib e Nisab Na Ho, Agar Uske Pas Khud Zewar Sona Paisa Hua Aur Wo Sahib e Nisab Hui To Use Bhi Nahi De Sakte.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kya Biwi Ki Taraf Se Shohar Zakat De Sakta Hai?
Answer

Ji Haan, Shohar Biwi Ki Taraf Se Zakat Ada Kar Sakta Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kya Malike Nisab Paise Udhar Lekar Zakat Ada Kar Sakta Hai?
Answer

Ji Haan, Agar Uske Pas Zakat Dene Ke Liye Paisa Ya Koi Maal Nahi Hai To Udhar Le Kar Zakat Deni Hogi Warna Koi Saman Bech Kar.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Kisi Ke Pas 650g Chandi Aur Sadhe 3 Tola Sona Ho To Kya Dono Par Zakat Deni Hogi Aur Cash Na Ho?
Answer

Agar Is Sone Chandi Par Ek Saal Guzar Gaya Ho To Dono Ki Raqam Ko Jod Kar Zakat Deni Hogi, Zakat Ke Liye Cash Ka Hona Zaroori Nahi.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

23 Jan 2024

Koi Shakhs Sahib e Nisab Hai Aur 2 din Baad Aur 5 Lakh Rupay Aaye Jispe Saal Nahi Guzra - Zakat hogi?
Answer

Sahib e Nisab Hone Ki Surat Me Kul Mal Par Zakat Wajib Hoti Hai Chahe 1 Din Pehle Aye, Ye Qaida Sirf Pehli Bar Sahib e Nisab Hone Par Dekha Jata Hai Ki Saal Guzre Na Ki Har Maal Par.