Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Ramazan / Roza

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Kya Naaf Me Tel Dalne Se Roza Toot Jata Hai?
Answer

Naaf Me Tal Dalne Se Roza Nahi Tootega.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Agar Haiz Wali Aurat Subha Fajr Baad Paak Ho Jaye To Kya us din roza rakh sakti hai?
Answer

Fajr Ke Baad Paak Hone Se Haiz o Nifas Wali Ka Us Din Ka Roza Nahi Hoga Na Farz Na Nafil Lihaza Achche Se Ghusl Kar Ke Agle Din Ka Roza Rakhe Aur Roza Na Hone Ki Wajah Se Kulli Aur Naak Me Pani Me Bhi Mubalgha Kar Sakti Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Agar Ramzan Ke Qaza Roza Rakhna Ho Aur Ammi Abbu Mana Kare toh?
Answer

Qaza Roze Jald Se Jald Ada Karne Chahiye Agar Sehet Sahi Hai To Rakhne Me Harj Nahi, Lihaza Agar Waliden Mana Karti Hain To Sardi Me Rakh Sakte Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Kuch Log Ashura Ka Roza Isliye Nahi Rakhte Ki Imam Hussain na Karbala Me Roza Nahi Rakha Tha?
Answer

Imam Hussain رضى الله عنه Ka Roza Na Rakhna Awwal To Ramazan Nahi Tha Doosri Baat Wo Musafir The Aur Jung Ke Halaat The Magar Jis Roze Ki Fazilat Aai Hai Use Rakhna Chahiye Is Tarah Ke Heele Bahane Banana Kam Ilmi Ki Nishani Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Kya Sirf 10 Muharram Ka Roza Rakhne Wala Gunahgar Hai?
Answer

Nahi, Gunahgar Nahi Behtar Hai Ki Poore Muharram Me Kabhi Bhi Ek Aur Rakh Le

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Kya Pregnant Aurton Par Bhi Ramzan Ke Roze Farz Hain?
Answer

Yes, Agar Hamal Ke Shuru Maah Hain Aur Roze Ba Asani Rakh Sakti Hain To Rakhna Hoga, Aur Aise Waqt Me Jahan Roza Rakhne Se Nuqsan Hai To Baad Me Qaza Kare.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Kafir Ke Wahan Iftar Halal Hai Ya Haram?
Answer

Kafir Ka Iftar Halal Hai Bachna Behtar Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Koi Shia Iftar Lakar De To Kya Karen?
Answer

Awwalan To Lene Se Hi Mana Kare Ki, Kahin Aur Zarooratmand Ko De De, Agar Fir Bhi Na Mane To Ap Kisi Zarooratmand Faqeer Ko De Den Agar Wo Bhi Na Ho Sake To Kha Len.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Kya Roze Ki Halat Me Itar Lagana Jaiz Hai?
Answer

Itar Lagana Sunnat Hai Chahe Ramzan Roze Me Ho Ya Bina Roze Ke Lihaza Roze Me Isse Koi Fark Nahi Aata.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

08 Jan 2024

Kya Deobandi Wahabi Ki Azan Se Roza Iftar Kar Sakte Hain?
Answer

Roza Kholne Ka Talluq Waqt Ke Sath Hai, Agar Waqt Ho Jaye To Roza Khol Liya Jaye Azan Na Bhi Ho To Bhi, Lihaza Deobandi Masjid Me Azan Hona Is Taraf Ishara Hota Hai Ki Waqt Ho Gaya Lihaza Roza Khol Sakte Hain.