Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Women

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Kya Ulte Dupatte Me Namaz Padh Liiya toh ho jayegi?
Answer

Aisa Dupatta Jiske Ulte Sidhe Hone Me Awam Me Koi Farq Nahi Hota To Aise Me Namaz Kisi Tarah Bhi Odh Kar Padhi Ja Sakti Hai, Albatta Agar Waqai Tameez Karne Wala Dupatta Namaz Me Ulta Odh Liya Gaya Ho To Bhi Namaz Ho Jati Hai Faqat Makruh e Tanzihi Hoti Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Aurat Ko Nakli Palke Lagana Kaisa hai?
Answer

Laga Sakte Hain, Jabki Insani Baal Ki Na Ho.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Aurat Ya Mard Ko Naam Ya Letter Wale Locket Pehenna Kaisa?
Answer

Aurat Ko Chandi Ya Sone Ke Naam Ya Alfaz (Letter) Wale Locket Pehenne Me Harj Nahi Jabki Ayat/Dua Ibarat Jaise Alfaz Se Bachna Zyada Zaroori Hai, Albatta Mard Ko Inme Se Kuch Bhi Gale Me Pehenna Jaiz Nahi, Na Chandi Me Na Sone Me.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

06 Jan 2024

Kya Aurat Ko Lady Dr. Ko Sharmgah Dikhani Pade To Ghusl Farz Hoga Ya Wajib?
Answer

Sharmgah Ko Dekhne Dikhane Se Ghusl Farz Nahi Hota.