Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site

Inshort Category: Quran

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Joote Chappal Pehen Kar Mobile Me Quran Padhna Kaisa hai?
Answer

Haan, Safar Ya Gadi Me Baith Kar Joote Chappal Pehne Huye Ho To Quran Mobile Aur Hard Copy (Qurani Nuskha) Dono Me Padh Sakte Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Kya Quran Me Sajde Ki Ayat Ka Tarjuma Padhne Par Bhi Sajda Karna Zaroori Hai?
Answer

Qur'ani Sajde Ki Ayat Padhne Sunne Se Sajda Wajib Ho Jata Hai, Isi Tarah Us Ayat Ka Tarjuma Padhne Aur Sunne Se Bhi Sajda Wajib Ho Jata Hai, Isi Tarah Bahar e Shariat Me Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Quran e Paak Kharidte waqt Qeemat Kam Karwana Kaisa hai?
Answer

Quran Kharidte Waqt Agar Dukandar Zyada Raqam Mange To Usse Kam Karwana Ya Kahin Aur Kam Qeemat Par Milta Ho To Use Lena Jaiz Hai Quran (Hard Copy) Par Mol Bhaw Karna Jaiz Hai Aur Ye Mol Bhaw Quran Par Nahi Uski Jild, Paper Ki Quality , Coloring Waghaira Ki Buniyad Par Hota Hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Quran-e-Pak Ungli Rakh Kar Padhna Kaisa hai?
Answer

Quran Par Ungli Rakh Kar Padhne Se Quran Ko Chune Ka Sawab Bhi Milega.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

05 Jan 2024

Quran Shareef Me Nuqte, Zabar, Zer, etc Erase Hone Lage To Kya Usko Khud Pen Se Likh Sakte Hain?
Answer

Ji Han, Wuzu Karke, Doosri Jild Dekh Kar Khud Laga Sakte Hain.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Quran Mein Allah Ke Lafz Alif ya Hamza se hota hai? Sahi Tareeqa
Answer

Ye baat logo me aam hai or awam isse waqif bhi Shayad Nahi hoti ki Quran wagera me Alif se allah hota hai Ya hamza se, Aur mera zan ghalib hai ki log yahi samjhte honge Ki alif se Allah hota hai, jabki arabi me jis Alif par Zabar zer pesh wagera ho use Alif nahi hazma kehte hain.

Ye jo ALIF se ALLAH bola or padhaya jaata hai Ye urdu zuban me hota hai, 

Aur kyunki Quran arabi me hai to arabi me HAMZA se ALLAH hota hai.

Yani hijje is tarah padhi jayegi Hamza + Lam zabar = AL, 

Tajweed ke qaide ke hisab se Alif use kaha jata hai, jis par harkat (zer, zabar wagera) Nahi hoti, Aur jis alif par harkat ho chahe ek ya do to use hamza kehta hai.

Sikander Warsi
Sikander Warsi

04 Jan 2024

Quran bina awaz ke padhna kaisa hai?
Answer

Pura Sawal: Baz log tilawat e Quran karte hain khas kar ramazan me bina hi awaz ke or isi tarah qurankhwani me, bache yani chupchap ungli chalate rehte he Aur yahi hal gharo me aurato ka hota hai, toh is tarah Quran be‐ awaz padha hua hai ya nahi, iseu isal e sawab kar sakte hain ya nahi.

Baghair awaz mehez Dil me quran ko padhne ya sirf dekhne se Padhne ka sawab NAHI milega, Sirf dekhne ka milega, or use chhune ka (agar ungli rakh ke padha).

Sikander Warsi
Sikander Warsi

18 Sep 2023

Ek mukammal Quran sharif saal bhar me na hua to kiya gunaah hoga?
Answer

Gunah nahi, Magar mehrumi az rehmate ilahia zarur hai, Or itna quran yaad karna zarur lazim hai jisse Farz ibadat mukammal ho sake.

Jaisa ki Bahar E Shariat Jild: : 1 Safah: 545 par hai.

Ek ayat ka hifz karna har musalman mukallaf Par farz e ain hai. (Or aage hai,) Surah fatiha aur ek doosri choti surat ya iski misl Maslan 3 choti ayaten ya ek badi ayat ka hifz, wajib e ain hai

Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 Sep 2023

Napak kapde pehan kar Quran ki tilawat kar sakta hai ya nahi?
Answer

Quran ki tilawat ke liye padhne wale ka pak hona farz hai wuzu ke sath.

Aur paak Aadmi agar napaak kapda pehen le to napaak nahi ho jata. Agar napaak kapda Quran pe naa lage to Quran ki tilwat to kar sakta hai or gunah bhi nahi. 

Magar behtar yehi he ki paak kapde pehne jaye ki ye khilaf e urf hai or isse bachna hi chahiye.